yar bin kis ko sunaun dil ka matlab dil ki baat
yaar bin kis ko sunā.ūñ dil kā matlab dil kī baat
aur kis se jā ke paauñ dil kā matlab dil kī baat
gar mile ik baar mujh ko vo parī-vash kaj-adā
us ko zāhir kar dikhā.ūñ dil kā matlab dil kī baat
ḳhaak sahrāoñ kī chhānī sīm-bar ke vāste
us hī mah-rū ko batā.ūñ dil kā matlab dil kī baat
ḳhūb-rū kā dekhnā hī ḳhuub hai ai ḳhūb-ḳhū
us ḳhush-ā.īñ ko batā.ūñ dil kā matlab dil kī baat
jāhil-o-ġhāfil haiñ saare aql ke andhe yahāñ
āqiloñ ke paas gaa.un dil kā matlab dil kī baat
sher aur kutte ke bāham dostī hotī nahīñ
be-ḳhirad ko kyā sunā.ūñ dil kā matlab dil kī baat
'ārifā' jis se lagā dil bas vahī hai dilrubā
dilrubā ko hī jatā.ūñ dil kā matlab dil kī baat
yar bin kis ko sunaun dil ka matlab dil ki baat
aur kis se ja ke paun dil ka matlab dil ki baat
gar mile ek bar mujh ko wo pari-wash kaj-ada
us ko zahir kar dikhaun dil ka matlab dil ki baat
KHak sahraon ki chhani sim-bar ke waste
us hi mah-ru ko bataun dil ka matlab dil ki baat
KHub-ru ka dekhna hi KHub hai ai KHub-KHu
us KHush-ain ko bataun dil ka matlab dil ki baat
jahil-o-ghafil hain sare aql ke andhe yahan
aaqilon ke pas gaun dil ka matlab dil ki baat
sher aur kutte ke baham dosti hoti nahin
be-KHirad ko kya sunaun dil ka matlab dil ki baat
'arifa' jis se laga dil bas wahi hai dilruba
dilruba ko hi jataun dil ka matlab dil ki baat
- Book : Diwan-e-Arif (Pg. 28)
- Author : Kishan Singh Arif
- Publication : Chashma-e-Noor Press, Amritsar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.