ai sanam kah de mujhe ab baat sari saf saf
ai sanam kah de mujhe ab baat saarī saaf saaf
jis tarah aave nazar sūrat tumhārī saaf saaf
jo terī āñkhoñ ke aage aa gayā bismil huā
mārte ho khīñch kar kaisī kaTārī saaf saaf
chāhe tū talvār le kar sar hamārā kaaT le
lekin ham dil se na deñge ġham-gusārī saaf saaf
ai but-e-bechūñ hai kis kī tujh se kah chūn-o-charā
hai Darātī ye nigāh barchhī tumhārī saaf saaf
ik terī ulfat se mujh ko hai malāmat chār-sū
dūsrā furqat se har-dam be-qarārī saaf saaf
chashm giryāñ sīna-bariyāñ dil-tapāñ aur chehra zard
roz-o-shab rahtī hai mujh ko āh-o-zārī saaf saaf
duur kar dil se daġhā aur mujh se mil jā be-hijāb
hai terī hijrat se har-dam intizārī saaf saaf
ham tere haiñ ham-nashīñ aur ham tere hamrāz haiñ
ham se kar hamdam hamesha ham-kinārī saaf saaf
pī ke bas jām-e-mohabbat ho gayā ḳhud mast maiñ
aa ga.ī āñkhoñ meñ merī bas ḳhumārī saaf saaf
diiñ diyā aur dil diyā dīgar diyā jān-o-jahāñ
tujh se haT kar kis se kiije dost-dārī saaf saaf
duur rahne se hai dukh aur paas rahnā hai muhāl
chhoḌnī mushkil huī raġhbat pyārī saaf saaf
'ārifā' vo shāh-e-ḳhūbāñ mujh ko yuuñ kahne lagā
ḳhud se ḳhālī ho ke kar marzī hamārī saaf saaf
ai sanam kah de mujhe ab baat sari saf saf
jis tarah aawe nazar surat tumhaari saf saf
jo teri aankhon ke aage aa gaya bismil hua
marte ho khinch kar kaisi kaTari saf saf
chahe tu talwar le kar sar hamara kaT le
lekin hum dil se na denge gham-gusari saf saf
ai but-e-bechun hai kis ki tujh se kah chun-o-chara
hai Daraati ye nigah barchhi tumhaari saf saf
ek teri ulfat se mujh ko hai malamat chaar-su
dusra furqat se har-dam be-qarari saf saf
chashm giryan sina-bariyan dil-tapan aur chehra zard
roz-o-shab rahti hai mujh ko aah-o-zari saf saf
dur kar dil se dagha aur mujh se mil ja be-hijab
hai teri hijrat se har-dam intizari saf saf
hum tere hain ham-nashin aur hum tere hamraaz hain
hum se kar hamdam hamesha ham-kinari saf saf
pi ke bas jam-e-mohabbat ho gaya KHud mast main
aa gai aankhon mein meri bas KHumari saf saf
din diya aur dil diya digar diya jaan-o-jahan
tujh se haT kar kis se kije dost-dari saf saf
dur rahne se hai dukh aur pas rahna hai muhaal
chhoDni mushkil hui raghbat pyari saf saf
'arifa' wo shah-e-KHuban mujh ko yun kahne laga
KHud se KHali ho ke kar marzi hamari saf saf
- Book : Diwan-e-Arif (Pg. 54)
- Author : Kishan Singh Arif
- Publication : Chashma-e-Noor Press, Amritsar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.