hai aashiq ko apne sanam ki qasam
hai āshiq ko apne sanam kī qasam
mujhe tere ḳhāk-e-qadam kī qasam
meñ kāfir huuñ ai but jo tujh se phirūñ
mujhe apne diin aur dharam kī qasam
parastish maiñ kartā huuñ terī sadā
na ḳhā.uñgā dair aur haram kī qasam
na chhup mujh se tū ai but-e-sañg-dil
tujhe is kitāb aur qalam kī qasam
pilā bāda-e-ma.arifat ab mujhe
tujhe sāqiyā jām-e-jam kī qasam
dikhā zulf-e-mushkīñ jo hai mushkbū
tujhe kākul-e-ḳham najam kī qasam
dikhā mujh ko dīdār ai gul-ezār
tujhe apne bāġh-e-iram kī qasam
kabhī la.al-e-lab se bhī kar lab-ba-lab
tujhe is merī chashm-e-nam kī qasam
tere mubtalā ko hai saugand yuuñ
baḳhīloñ ko hai jyuuñ diram kī qasam
maiñ kahtā huuñ 'ārif' duī duur kar
tujhe apne lutf-o-karam kī qasam
hai aashiq ko apne sanam ki qasam
mujhe tere KHak-e-qadam ki qasam
mein kafir hun ai but jo tujh se phirun
mujhe apne din aur dharam ki qasam
parastish main karta hun teri sada
na KHaunga dair aur haram ki qasam
na chhup mujh se tu ai but-e-sang-dil
tujhe is kitab aur qalam ki qasam
pila baada-e-marifat ab mujhe
tujhe saqiya jam-e-jam ki qasam
dikha zulf-e-mushkin jo hai mushkbu
tujhe kakul-e-KHam najam ki qasam
dikha mujh ko didar ai gul-ezar
tujhe apne bagh-e-iram ki qasam
kabhi lal-e-lab se bhi kar lab-ba-lab
tujhe is meri chashm-e-nam ki qasam
tere mubtala ko hai saugand yun
baKHilon ko hai jyun diram ki qasam
main kahta hun 'arif' dui dur kar
tujhe apne lutf-o-karam ki qasam
- Book : Diwan-e-Arif (Pg. 61)
- Author : Kishan Singh Arif
- Publication : Chashma-e-Noor Press, Amritsar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.