saf ho jis ki zaban shamshir ki hajat nahin
saaf ho jis kī zabāñ shamshīr kī hājat nahīñ
hai nigāh jis kī safā phir tiir kī hājat nahīñ
jab tasavvur bañdh gayā tasvīr kī hājat nahīñ
zulf ke pāband ko zanjīr kī hājat nahīñ
ḳhūb-rū ḳhud aa mile jab phir kisī kā ḳhauf kyā
ye vo jaadū hai jise tasḳhīr kī hājat nahīñ
dil-rubā har dil meñ hai phir kyuuñ dikhātā hai kise
jaan apnī uzv phir taksīr kī hājat nahīñ
yā ruke kūche meñ jaanā pī mohabbat kī sharāb
mast-o-dīvāna ko kuchh tauqīr kī hājat nahīñ
ālim-o-āqil ko jaanā us jagah dushvār hai
kūdnā dariyā meñ jā tadbīr kī hājat nahīñ
nāma-bar ḳhat de ke us ko lafz kuchh mat boliyo
dam-ba-ḳhud rahiyo terī taqrīr kī hājat nahīñ
ka.aba-o-but-ḳhāna-o-girjā barābar haiñ hameñ
is merī taqrīr ko tafsīr kī hājat nahīñ
sajda-gāh-e-āshiqāñ hai dilbaroñ kā saaf dil
ye vo masjid hai jise ta.amīr kī hājat nahīñ
āshiq-e-sādiq ko jab nābūd hai saarā jahāñ
jab ye dil be-dil huā iksīr kī hājat nahīñ
be-gumāñ mil jā.egā jo hai likhā qismat ke beach
sābir-o-shākir ko kuchh jāgīr kī hājat nahīñ
'ārifā' hai haq yahī bas ġhair-e-haq kuchh bhī na jaan
pī mai-e-vahdat yahāñ tāḳhīr kī hājat nahīñ
saf ho jis ki zaban shamshir ki hajat nahin
hai nigah jis ki safa phir tir ki hajat nahin
jab tasawwur bandh gaya taswir ki hajat nahin
zulf ke paband ko zanjir ki hajat nahin
KHub-ru KHud aa mile jab phir kisi ka KHauf kya
ye wo jadu hai jise tasKHir ki hajat nahin
dil-ruba har dil mein hai phir kyun dikhata hai kise
jaan apni uzw phir taksir ki hajat nahin
ya ruke kuche mein jaana pi mohabbat ki sharab
mast-o-diwana ko kuchh tauqir ki hajat nahin
aalim-o-aqil ko jaana us jagah dushwar hai
kudna dariya mein ja tadbir ki hajat nahin
nama-bar KHat de ke us ko lafz kuchh mat boliyo
dam-ba-KHud rahiyo teri taqrir ki hajat nahin
kaba-o-but-KHana-o-girja barabar hain hamein
is meri taqrir ko tafsir ki hajat nahin
sajda-gah-e-ashiqan hai dilbaron ka saf dil
ye wo masjid hai jise tamir ki hajat nahin
aashiq-e-sadiq ko jab nabud hai sara jahan
jab ye dil be-dil hua iksir ki hajat nahin
be-guman mil jaega jo hai likha qismat ke beach
sabir-o-shakir ko kuchh jagir ki hajat nahin
'arifa' hai haq yahi bas ghair-e-haq kuchh bhi na jaan
pi mai-e-wahdat yahan taKHir ki hajat nahin
- Book : Diwan-e-Arif (Pg. 65)
- Author : Kishan Singh Arif
- Publication : Chashma-e-Noor Press, Amritsar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.