mera baKHt-e-KHwabida bedar ho
merā baḳht-e-ḳhvābīda bedār ho
terā ḳhvāb meñ mujh ko dīdār ho
jahāñ gar ho dushman hai kyā fikr-o-ġham
agar ġham-gusārī pe ġham-ḳhvār ho
dil-e-muztarib istaqāmat kare
agar paas mere vo dildār ho
maiñ huuñ bechtā dharm-o-īmān-o-dīñ
agar koī aa kar ḳharīdār ho
agar muñh chhupā le vo mahr-e-munīr
numāyāñ jahāñ par shab-e-tār ho
agar ek pal ho judā.ī terī
to sahrā mujhe saarā ghar-bār ho
agar vo pilāve sharāb-e-visāl
to kyā us kā āshiq na mai-ḳhvār ho
barābar haiñ gar paas ho gul-badan
chaman ho ki jañgal che gulzār ho
jo jaa.e to jaa.e koī jāñ-gudāz
jahāñ chār-sū tīr-o-talvār ho
merā dil bhī kyā koī mansūr hai
nahīñ Dar use garche sau vaar ho
gayā qais majnūñ huā dasht meñ
muā kohkan jaañ se bezār ho
chalo ik na.ī baat karke yahāñ
terā jis se azkār har baar ho
jahāñ ho vahāñ jā ke us se milūñ
huā kyā jo qulzum se har paar ho
hakīmoñ se kyā us kī hogī davā
jo ishq aur mohabbat kā bīmār ho
jale yā mare yā kahīñ Duub jaa.e
vo lekin na furqat kā āzār ho
ġhazab hai ki zālim ho yuuñ ḳhanda-zan
idhar chashm-e-mazlūm ḳhūñ-bār ho
hai kyā ḳhauf 'ārif' ko mahshar ke din
vakālat pe jab piir muḳhtār ho
mera baKHt-e-KHwabida bedar ho
tera KHwab mein mujh ko didar ho
jahan gar ho dushman hai kya fikr-o-gham
agar gham-gusari pe gham-KHwar ho
dil-e-muztarib istaqamat kare
agar pas mere wo dildar ho
main hun bechta dharm-o-iman-o-din
agar koi aa kar KHaridar ho
agar munh chhupa le wo mahr-e-munir
numayan jahan par shab-e-tar ho
agar ek pal ho judai teri
to sahra mujhe sara ghar-bar ho
agar wo pilawe sharab-e-visal
to kya us ka aashiq na mai-KHwar ho
barabar hain gar pas ho gul-badan
chaman ho ki jangal che gulzar ho
jo jae to jae koi jaan-gudaz
jahan chaar-su tir-o-talwar ho
mera dil bhi kya koi mansur hai
nahin Dar use garche sau war ho
gaya qais majnun hua dasht mein
mua kohkan jaan se bezar ho
chalo ek nai baat karke yahan
tera jis se azkar har bar ho
jahan ho wahan ja ke us se milun
hua kya jo qulzum se har par ho
hakimon se kya us ki hogi dawa
jo ishq aur mohabbat ka bimar ho
jale ya mare ya kahin Dub jae
wo lekin na furqat ka aazar ho
ghazab hai ki zalim ho yun KHanda-zan
idhar chashm-e-mazlum KHun-bar ho
hai kya KHauf 'arif' ko mahshar ke din
wakalat pe jab pir muKHtar ho
- Book : Diwan-e-Arif (Pg. 72)
- Author : Kishan Singh Arif
- Publication : Chashma-e-Noor Press, Amritsar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.