mil gaya hai dil kisi didar se
mil gayā hai dil kisī dīdār se
ho gayā bezār ab ghar-bār se
jab se sohbat ho ga.ī mai-ḳhvār se
tab se ham phirte haiñ bas sarshār se
bañdh gayā jo zulf kī ik taar se
chhuT gayā vo momin aur kuffār se
dil merā hai misl-e-bulbul na.ara-zan
misl-e-bū gul-rū gayā gulzār se
hai vo qātil qatl-e-āshiq par khaḌā
maar degā ḳhuuñ bharī talvār se
dard-e-dūrī vasl bin jaatā nahīñ
maut behtar jaan is āzār se
kūcha-e-jānāñ meñ jaanā hai muhāl
ḳhauf hai us sañg-dil ḳhuñḳhār se
dam liyā iisā ne jā kar charḳh par
is tarah bhāgā tere bīmār se
daulat-e-ishq-e-ḳhudā hāsil ho gar
kuchh nahīñ achchhā digar is kaar se
hai ta.ajjub 'ārifā' duniyā ke beach
bhāgtā hai dil bhale kirdār se
mil gaya hai dil kisi didar se
ho gaya bezar ab ghar-bar se
jab se sohbat ho gai mai-KHwar se
tab se hum phirte hain bas sarshaar se
bandh gaya jo zulf ki ek tar se
chhuT gaya wo momin aur kuffar se
dil mera hai misl-e-bulbul nara-zan
misl-e-bu gul-ru gaya gulzar se
hai wo qatil qatl-e-ashiq par khaDa
mar dega KHun bhari talwar se
dard-e-duri wasl bin jata nahin
maut behtar jaan is aazar se
kucha-e-jaanan mein jaana hai muhaal
KHauf hai us sang-dil KHunKHar se
dam liya isa ne ja kar charKH par
is tarah bhaga tere bimar se
daulat-e-ishq-e-KHuda hasil ho gar
kuchh nahin achchha digar is kar se
hai tajjub 'arifa' duniya ke beach
bhagta hai dil bhale kirdar se
- Book : Diwan-e-Arif (Pg. 79)
- Author : Kishan Singh Arif
- Publication : Chashma-e-Noor Press, Amritsar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.