kisi ko kya bataun kyun miTa di zindagi apni
Interesting Fact
(ماہنامہ ’’ندیم‘‘ بھوپال سالگرہ نمبر(فروی۔۱۹۴۰ء)
kisī ko kyā batā.ūñ kyuuñ miTā dī zindagī apnī
baqā ain-e-baqā zauq-e-fanā meñ dekh lī apnī
sunā hai husn phir uTThā hai paiġhām-e-vafā le kar
ilāhī ḳhair hai betāb chashm-e-multajī apnī
jabīn-e-shauq ke sajdoñ pe sajde tā-ba-ke āḳhir
jo tū ho sāmne to bandagī ho bandagī apnī
mirī āñkheñ haiñ ye taare mirā ronā hai ye shabnam
bikhar kar rah ga.ī hai dāstān-e-be-kasī apnī
na mastī hai na hastī hai na kulfat hai na rāhat hai
yahāñ tak to mujhe le aa.ī hai vāraftagī apnī
ba.iid az fahm hai merī hama-rañgī-o-ham-rañgī
jo kuchh maiñ jāntā huuñ bas haqīqat hai vahī apnī
tamannāoñ kī koī zindagiyāñ le kar aayā thā
vo rañgīñ lamhe jab thī zindagī ik zindagī apnī
jo soz-e-ishq se uḌ kar fazāoñ meñ pareshāñ thiiñ
vahī chiñgāriyāñ jab mil ga.iiñ hastī banī apnī
hadīs-e-barq-o-aiman fitrat-e-dāman pe kanda hai
fazāoñ par vo ḳhud phailā rahe haiñ raushnī apnī
jise kahte haiñ maut ik be-ḳhudī kī niiñd hai 'shā.eq'
pareshānī hai jis kā naam vo hai zindagī apnī
kisi ko kya bataun kyun miTa di zindagi apni
baqa ain-e-baqa zauq-e-fana mein dekh li apni
suna hai husn phir uTTha hai paigham-e-wafa le kar
ilahi KHair hai betab chashm-e-multaji apni
jabin-e-shauq ke sajdon pe sajde ta-ba-ke aaKHir
jo tu ho samne to bandagi ho bandagi apni
meri aankhen hain ye tare mera rona hai ye shabnam
bikhar kar rah gai hai dastan-e-be-kasi apni
na masti hai na hasti hai na kulfat hai na rahat hai
yahan tak to mujhe le aai hai waraftagi apni
baid az fahm hai meri hama-rangi-o-ham-rangi
jo kuchh main jaanta hun bas haqiqat hai wahi apni
tamannaon ki koi zindagiyan le kar aaya tha
wo rangin lamhe jab thi zindagi ek zindagi apni
jo soz-e-ishq se uD kar fazaon mein pareshan thin
wahi chingariyan jab mil gain hasti bani apni
hadis-e-barq-o-aiman fitrat-e-daman pe kanda hai
fazaon par wo KHud phaila rahe hain raushni apni
jise kahte hain maut ek be-KHudi ki nind hai 'shaeq'
pareshani hai jis ka nam wo hai zindagi apni
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 168)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.