kisi zohra-shamail ka tasawwur hai mere dil mein
kisī zohra-shamā.il kā tasavvur hai mire dil meñ
munajjim yā qamar kā hai guzar ḳhurshīd-e-manzil meñ
qadam-ranja to farmāo koī rahne na pā.egā
nikal jā.eñgī jitnī ārzūeñ haiñ mire dil meñ
piyegī ḳhuub ai qātil ġhazab kā rañg lā.egī
lagā.ī hai jo mehñdī piis us ko ḳhūn-e-bismil meñ
yahī hairat kā aalam hai to nazzāra kahāñ majnūñ
nikal bhī aa.e mahmil se to phir lailā hai mahmil meñ
duī uTh jaaye to jhagḌā kahāñ shaiḳh-o-barhaman kā
but aa.eñ sajde karte shauq se is ka.aba-e-dil meñ
taḌaptā hai dil-e-sayyād bhī us ke taḌapne par
qayāmat kā asar hai iztirāb-e-murġh-e-bismil meñ
ye bīmārī mohabbat kī koī nairañg hai ai dil
jahāñ aayā masīhā dard duunā ho gayā dil meñ
dahān-e-zaḳhm ne kis kis maze se us ko chūsā hai
lab-e-shīrīñ kī lazzat hai zabān-e-teġh-e-qātil meñ
judā hotī nahīñ gardan se qātil zor kartā hai
zabān-e-teġh ne lazzat ye paa.ī ḳhūn-e-bismil meñ
zarā mahmil se haT kar ḳhaak uḌā o be-adab majnūñ
ḳhayāl itnā to karnā chāhiye ki kaun mahmil meñ
lagā kar vaar ochhā phir na dekhā us taraf ham ne
qazā rotī rahī baiThī huī pahlū-e-bismil meñ
na āmāda huā ho koī ġhamza us kī shoḳhī par
ilāhī ḳhair bijlī sī chamaktī hai mire dil meñ
'amīr' us kī tajallī-gāh hai duniyā jo āñkheñ hoñ
vahī gul hai gulistāñ meñ vahī hai sham.a mahfil meñ
kisi zohra-shamail ka tasawwur hai mere dil mein
munajjim ya qamar ka hai guzar KHurshid-e-manzil mein
qadam-ranja to farmao koi rahne na paega
nikal jaengi jitni aarzuen hain mere dil mein
piyegi KHub ai qatil ghazab ka rang laegi
lagai hai jo mehndi pis us ko KHun-e-bismil mein
yahī hairat ka aalam hai to nazzara kahan majnun
nikal bhi aae mahmil se to phir laila hai mahmil mein
dui uTh jaye to jhagDa kahan shaiKH-o-barhaman ka
but aaen sajde karte shauq se is kaba-e-dil mein
taDapta hai dil-e-sayyaad bhi us ke taDapne par
qayamat ka asar hai iztirab-e-murgh-e-bismil mein
ye bimari mohabbat ki koi nairang hai ai dil
jahan aaya masiha dard duna ho gaya dil mein
dahan-e-zaKHm ne kis kis maze se us ko chusa hai
lab-e-shirin ki lazzat hai zaban-e-tegh-e-qatil mein
juda hoti nahin gardan se qatil zor karta hai
zaban-e-tegh ne lazzat ye pai KHun-e-bismil mein
zara mahmil se haT kar KHak uDa o be-adab majnun
KHayal itna to karna chahiye ki kaun mahmil mein
laga kar war ochha phir na dekha us taraf hum ne
qaza roti rahi baiThi hui pahlu-e-bismil mein
na aamada hua ho koi ghamza us ki shoKHi par
ilahi KHair bijli si chamakti hai mere dil mein
'amir' us ki tajalli-gah hai duniya jo aankhen hon
wahi gul hai gulistan mein wahi hai shama mahfil mein
- Book : Kalam-e-Ameer Minayee (Pg. 98)
- Author : Ameer Minayee
- Publication : Mashwara Book Dopt. Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.