koi diwana-war aae na aae
koī dīvāna-vār aa.e na aa.e
junūñ pe iḳhtiyār aa.e na aa.e
tasallī sāz-gār aa.e na aa.e
mere dil ko qarār aa.e na aa.e
vo mausam-e-ḳhush-gavār aa.e na aa.e
ye mumkin hai bahār aa.e na aa.e
lipaT kar rah ga.e dāman se kāñTe
guloñ par ab nikhār aa.e na aa.e
use ehsās-e-ġham pās-e-hayā hai
lahad tak sogvār aa.e na aa.e
mujhe mastāna-nazroñ se pilā de
mere saaqī ḳhumār aa.e na aa.e
dil-e-bedār bhī ab mubtalā hai
tujhe ye e'tibār aa.e na aa.e
koi diwana-war aae na aae
junun pe iKHtiyar aae na aae
tasalli saz-gar aae na aae
mere dil ko qarar aae na aae
wo mausam-e-KHush-gawar aae na aae
ye mumkin hai bahaar aae na aae
lipaT kar rah gae daman se kanTe
gulon par ab nikhaar aae na aae
use ehsas-e-gham pas-e-haya hai
lahad tak sogwar aae na aae
mujhe mastana-nazron se pila de
mere saqi KHumar aae na aae
dil-e-bedar bhi ab mubtala hai
tujhe ye e'tibar aae na aae
- Book : Silsila-e-Warisiya ke makhsoos Shora-e-kram
- Author : Dr.Kabiruddin Khan Warsi
- Publication : Eram Printers, Dariyapur,Patna, (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.