koi hai momin koi hai tarsa KHuda ki baaten KHuda hi jaane
koi hai momin koi hai tarsa KHuda ki baaten KHuda hi jaane
Aziz Safipuri
MORE BYAziz Safipuri
koī hai momin koī hai tarsā ḳhudā kī bāteñ ḳhudā hī jaane
ajab tarah kā hai ye tamāsha ḳhudā kī bāteñ ḳhudā hī jaane
koī jo samjhe to kaise samjhe bahut baḌe haiñ ġhazab ke dhoke
kahīñ hai banda kahīñ hai maulā ḳhudā kī bāteñ ḳhudā hī jaane
kahīñ anal-haq vo aap bolā faqīr ban kar ye bhed kholā
kahīñ banā hai vo aap bholā ḳhudā kī bāteñ ḳhudā hī jaane
har ek shai kā vahī hai bātin har ek shai se vahī hai zāhir
magar vo har shai se hai nirālā ḳhudā kī bāteñ ḳhudā hī jaane
kahīñ banā hai 'azīz' ḳhādim kahīñ jo dekhā to vo 'safī' hai
ġharaz ye fitne ka.e haiñ barpā ḳhudā kī bāteñ ḳhudā hī jaane
koi hai momin koi hai tarsa KHuda ki baaten KHuda hi jaane
ajab tarah ka hai ye tamasha KHuda ki baaten KHuda hi jaane
koi jo samjhe to kaise samjhe bahut baDe hain ghazab ke dhoke
kahin hai banda kahin hai maula KHuda ki baaten KHuda hi jaane
kahin anal-haq wo aap bola faqir ban kar ye bhed khola
kahin bana hai wo aap bhola KHuda ki baaten KHuda hi jaane
har ek shai ka wahi hai baatin har ek shai se wahi hai zahir
magar wo har shai se hai nirala KHuda ki baaten KHuda hi jaane
kahin bana hai 'aziz' KHadim kahin jo dekha to wo 'safi' hai
gharaz ye fitne kae hain barpa KHuda ki baaten KHuda hi jaane
- Book : Irfan-e-Azeez Intikhab-e-Kalam-e-Urdu (Pg. 37)
- Author : Azeez Safipuri
- Publication : Urdu Department, Aligarh Muslim University (1946)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.