koi lae usko zara hosh mein
koī laa.e us ko zarā hosh meñ
ye vaa.iz hai kis ḳhvāb-e-ḳhargosh meñ
shab-e-vasl uThā.e ye bāham maze
na vo hosh meñ haiñ na ham hosh meñ
ḳhum-e-mai kā Dar se lahū ḳhushk hai
paḌā jaam dast-e-balā nosh meñ
haiñ sadqe kise aaj pyaar aa gayā
ye kaun aa gayā mere āġhosh meñ
na chheḌo nikal jā.egī jaan abhī
dabī hai vo labhā-e-ḳhāmosh meñ
baḌhī haiñ dil-āveziyāñ husn kī
zamurrad ke āveze haiñ gosh meñ
sar-e-bazm vaa.iz se dabnā paḌā
vo ḳhum se rusvā thā tan-o-tosh meñ
Thikānā hai kyā shaiḳh mujh mast kā
kabhī kah diyā hogā kuchh josh meñ
farishte mare baañT leñ kuchh gunāh
kamī ho gar ambārī dosh meñ
nahīñ paañv meñ sirf mehñdī lagī
lage laal haiñ un kī pā-posh meñ
ḳhudā jaane kahtā huuñ mastī meñ kiyā
ḳhudā jaane baktā huuñ kyā josh meñ
bane dair ilāhī ye ka.aba mirā
raheñ but-e-dil haq-faramaush meñ
'riyāz' ab kahāñ vo javānī ke din
kahāñ ab hasīñ koī āġhosh meñ
koi lae us ko zara hosh mein
ye waiz hai kis KHwab-e-KHargosh mein
shab-e-wasl uThae ye baham maze
na wo hosh mein hain na hum hosh mein
KHum-e-mai ka Dar se lahu KHushk hai
paDa jam dast-e-bala nosh mein
hain sadqe kise aaj pyar aa gaya
ye kaun aa gaya mere aaghosh mein
na chheDo nikal jaegi jaan abhi
dabi hai wo labha-e-KHamosh mein
baDhi hain dil-aweziyan husn ki
zamurrad ke aaweze hain gosh mein
sar-e-bazm waiz se dabna paDa
wo KHum se ruswa tha tan-o-tosh mein
Thikana hai kya shaiKH mujh mast ka
kabhi kah diya hoga kuchh josh mein
farishte mare banT len kuchh gunah
kami ho gar ambari dosh mein
nahin panw mein sirf mehndi lagi
lage lal hain un ki pa-posh mein
KHuda jaane kahta hun masti mein kiya
KHuda jaane bakta hun kya josh mein
bane dair ilahi ye kaba mera
rahen but-e-dil haq-faramaush mein
'riyaz' ab kahan wo jawani ke din
kahan ab hasin koi aaghosh mein
- Book : Riyaaz-e-Rizwan (Pg. 297)
- Author : Riyaz Khairabadi
- Publication : Kitaab Manzil, Lahore (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.