koi munh chum le ga us nahin par
koī muñh chuum le gā us nahīñ par
shikan rah jaa.e gā yūñhī jabīñ par
girī thī aaj to bijlī hamīñ par
ye kahiye jhuk paḌe vo ham-nashīñ par
kaho be-kas kā maqtal kī zamīñ par
na dāman par na un ke āstīñ par
balā.eñ ban ke vo aa.iiñ hamīñ par
duā.eñ jo ga.iiñ arsh-e-barīñ par
ye qismat daaġh jis meñ dard jis meñ
vo dil ho luuT dast-e-nāznīñ par
rulā kar mujh ko poñchhe ashk dushman
rahā dhabbā ye un kī āstīñ par
uḌaa.e phirtī hai un ko javānī
qadam paḌtā nahīñ un kā zamīñ par
are o charḳh dene ke liye daaġh
bahut haiñ chāñd ke TukḌe zamīñ par
nazākat kostī hai mujh ko kyā kyā
tabī.at aa.ī achchhī nāznīñ par
tamannā-e-asar o chashm-e-hasrat
uThā rakh ab nigāh-e-vāpsīñ par
dharī rah jaa.e gī yūñhī shab-e-vasl
nahīñ lab par shikan un kī jabīñ par
ḳhudā jaane dikhā.e gī ye kyā rañg
duā.eñ jam.a haiñ arsh-e-barīñ par
nigāh-e-shauq garm itnī ki bijlī
na aañch aa.e kahīñ us nāznīñ par
mujhe hai ḳhuun kā da.avā mujhe hai
unhīñ par dāvar-e-mahshar unhīñ par
'riyāz' achchhe musalmāñ aap bhī haiñ
ki dil aayā bhī to kāfir hasīñ par
koi munh chum le ga us nahin par
shikan rah jae ga yunhi jabin par
giri thi aaj to bijli hamin par
ye kahiye jhuk paDe wo ham-nashin par
kaho be-kas ka maqtal ki zamin par
na daman par na un ke aastin par
balaen ban ke wo aain hamin par
duaen jo gain arsh-e-barin par
ye qismat dagh jis mein dard jis mein
wo dil ho luT dast-e-naznin par
rula kar mujh ko ponchhe ashk dushman
raha dhabba ye un ki aastin par
uDae phirti hai un ko jawani
qadam paDta nahin un ka zamin par
are o charKH dene ke liye dagh
bahut hain chand ke TukDe zamin par
nazakat kosti hai mujh ko kya kya
tabiat aai achchhi naznin par
tamanna-e-asar o chashm-e-hasrat
uTha rakh ab nigah-e-wapsin par
dhari rah jae gi yunhi shab-e-wasl
nahin lab par shikan un ki jabin par
KHuda jaane dikhae gi ye kya rang
duaen jama hain arsh-e-barin par
nigah-e-shauq garm itni ki bijli
na aanch aae kahin us naznin par
mujhe hai KHun ka dawa mujhe hai
unhin par dawar-e-mahshar unhin par
'riyaz' achchhe musalman aap bhi hain
ki dil aaya bhi to kafir hasin par
- Book : Riyaaz-e-Rizwan (Pg. 260)
- Author : Riyaz Khairabadi
- Publication : Kitaab Manzil, Lahore (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.