koi samjhaiyo yaro mera mahbub jata hai
koī samjhā.iyo yaaro mirā mahbūb jaatā hai
mirā maqsūd jaatā hai mirā matlūb jaatā hai
mubārak māh-e-kan.āñ ai zuleḳhā chashm-e-mā raushan
bas itnī baat kahne misr meñ yāqūb jaatā hai
duā kah kar chalā banda salām aa kar karegā phir
ḳhat aave jab talak to bandagī se ḳhuub jaatā hai
hunar apne kiye zāhir agar tujh ko nahīñ bhāte
to ab sau aib kā qaa.il ho ye ma.ayūb jaatā hai
'bayāñ' jab maiñ bayāñ kartā huuñ ye mazmūn 'mazmūñ' kā
kabhū āñkheñ bhar aatī haiñ kabhū jī Duub jaatā hai
koi samjhaiyo yaro mera mahbub jata hai
mera maqsud jata hai mera matlub jata hai
mubarak mah-e-kanan ai zuleKHa chashm-e-ma raushan
bas itni baat kahne misr mein yaqub jata hai
dua kah kar chala banda salam aa kar karega phir
KHat aawe jab talak to bandagi se KHub jata hai
hunar apne kiye zahir agar tujh ko nahin bhate
to ab sau aib ka qail ho ye mayub jata hai
'bayan' jab main bayan karta hun ye mazmun 'mazmun' ka
kabhu aankhen bhar aati hain kabhu ji Dub jata hai
- Book : Diwan-e-Bayan Edited: Arjumand Ara (Pg. 125)
- Author : Ahsanullaah Khan Bayan
- Publication : Anjumat Taraqqi Urdu (Hind) New Delhi (2004)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.