kuchh aur hi ab hai meri duniya jo koi pesh-e-nazar nahin hai
kuchh aur hi ab hai meri duniya jo koi pesh-e-nazar nahin hai
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
kuchh aur hī ab hai merī duniyā jo koī pesh-e-nazar nahīñ hai
vo hāl-e-qalb-o-jigar nahīñ hai vo rañg-e-shām-o-sahar nahīñ hai
balā hai ye zauq 'āshiqī kā banā hai janjāl mere jī kā
zarā ḳhayāl aa gayā kisī kā to niiñd phir rāt-bhar nahīñ hai
talab meñ kar to kamī na tālib ye nūr-e-dil ho na jaaye hājib
ye sub.h-e-kāzib hai sub.h-e-kāzib sahar nahīñ hai sahar nahīñ hai
na hosh apnā na ham-nashīñ kā na jān-e-zār-o-dil-hazīñ kā
ḳhayāl har dam hai ik hasīñ kā bas ab kisī kī ḳhabar nahīñ hai
isī meñ rakh apnī bas nazar tū nigah na dauḌā idhar-udhar tū
ḳhud is se hai laakh be-ḳhabar tū vo tujh se ḳhud be-ḳhabar nahīñ hai
yahāñ kī rāhat hai koī rāhat yahāñ kī zahmat hai koī zahmat
ye ik sarā hai maqām-e-’ibrat ye koī rahne kā ghar nahīñ hai
ye kyā ġhazab hai ye kyā ġhazab hai ki zar kī 'majzūb' se talab hai
vo sāhib-e-soz-o-sāz ab hai vo sāhib-e-sīm-o-zar nahīñ hai
kuchh aur hi ab hai meri duniya jo koi pesh-e-nazar nahin hai
wo haal-e-qalb-o-jigar nahin hai wo rang-e-sham-o-sahar nahin hai
bala hai ye zauq 'ashiqi ka bana hai janjal mere ji ka
zara KHayal aa gaya kisi ka to nind phir raat-bhar nahin hai
talab mein kar to kami na talib ye nur-e-dil ho na jaye hajib
ye subh-e-kazib hai subh-e-kazib sahar nahin hai sahar nahin hai
na hosh apna na ham-nashin ka na jaan-e-zar-o-dil-hazin ka
KHayal har dam hai ek hasin ka bas ab kisi ki KHabar nahin hai
isi mein rakh apni bas nazar tu nigah na dauDa idhar-udhar tu
KHud is se hai lakh be-KHabar tu wo tujh se KHud be-KHabar nahin hai
yahan ki rahat hai koi rahat yahan ki zahmat hai koi zahmat
ye ek sara hai maqam-e-’ibrat ye koi rahne ka ghar nahin hai
ye kya ghazab hai ye kya ghazab hai ki zar ki 'majzub' se talab hai
wo sahib-e-soz-o-saz ab hai wo sahib-e-sim-o-zar nahin hai
- Book : Gufta-e-Majzoob (Pg. 138)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.