kuchh fikr tumhein uqba ki nahin ahqar ye baDi nadani hai
kuchh fikr tumheñ uqbā kī nahīñ 'ahqar' ye baḌī nādānī hai
duniyā kī ḳhushī kyā iizā kyā ye hādis hai vo faanī hai
kaun aaj chaman meñ aayā kyuuñ bād-e-sabā dīvānī hai
sumbul hai pareshāñ-hāl judā nargis ko alag hairānī hai
qaabū meñ dil-e-nākām rahe rāzī-ba-razā insān rahe
hañgām-e-musībat ghabrānā ik tarh kī ye nādānī hai
hai qulzum-e-ishq ik qahr-e-ḳhudā jo is meñ girā vo Duub gayā
allāh-re us kī gahrā.ī sāhil pe gale tak paanī hai
ummīd nahīñ ab kashti-e-dil sāhil pe salāmat jā pahuñche
dariyā-e-alam bhī baaḌh pe hai ashkoñ kī judā tuġhyānī hai
kuchh fikr tumhein uqba ki nahin 'ahqar' ye baDi nadani hai
duniya ki KHushi kya iza kya ye hadis hai wo fani hai
kaun aaj chaman mein aaya kyun baad-e-saba diwani hai
sumbul hai pareshan-haal juda nargis ko alag hairani hai
qabu mein dil-e-nakaam rahe raazi-ba-raza insan rahe
hangam-e-musibat ghabrana ek tarh ki ye nadani hai
hai qulzum-e-ishq ek qahr-e-KHuda jo is mein gira wo Dub gaya
allah-re us ki gahrai sahil pe gale tak pani hai
ummid nahin ab kashti-e-dil sahil pe salamat ja pahunche
dariya-e-alam bhi baDh pe hai ashkon ki juda tughyani hai
- Book : Bihar Men Urdu Ki Sufiyana Shairi (Pg. 181)
- Author : Mohammad Tayyab Abdali
- Publication : Israr Karimi Press, Allahabad (1988)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.