kuchh is tarah se nazar se guzar gayā koī
kuchh is tarah se nazar se guzar gayā koī
ki dil ko ġham kā sazā-vār kar gayā koī
dil-e-sitam-zada ko jaise kuchh huā hī nahīñ
ḳhud apne husn se yuuñ be-ḳhabar gayā koī
vo ek jalva-e-sad-rang ik hujūm-e-bahār
na jaane kaun thā jaane kidhar gayā koī
nazar ki tishna-e-dīdār thī rahī mahrūm
nazar uThā.ī to dil meñ utar gayā koī
nigāh-e-shauq kī mahrūmiyoñ se nā-vāqif
nigāh-e-shauq pe ilzām dhar gayā koī
ab un ke husn meñ husn-e-nazar bhī shāmil hai
kuchh aur merī nazar se sañvar gayā koī
kisī ke paañv kī aahaT ki dil kī dhaḌkan thī
hazār baar uThā sū-e-dar gayā koī
nasīb-e-ahl-e-vafā ye sukūn-e-dil to na thā
zarūr nāla-e-dil be-asar gayā koī
uThā phir aaj mire dil meñ rashk kā tūfāñ
phir un kī raah se bā-chashm-e-tar gayā koī
ye kah ke yaad kareñge 'hafīz' dost mujhe
vafā kī rasm ko pā.inda kar gayā koī
kuchh is tarah se nazar se guzar gayā koī
ki dil ko ġham kā sazā-wār kar gayā koī
dil-e-sitam-zada ko jaise kuchh huā hī nahīñ
ḳhud apne husn se yuñ be-ḳhabar gayā koī
wo ek jalwa-e-sad-rang ek hujūm-e-bahār
na jaane kaun thā jaane kidhar gayā koī
nazar ki tishna-e-dīdār thī rahī mahrūm
nazar uThāī to dil meñ utar gayā koī
nigāh-e-shauq kī mahrūmiyoñ se nā-wāqif
nigāh-e-shauq pe ilzām dhar gayā koī
ab un ke husn meñ husn-e-nazar bhī shāmil hai
kuchh aur merī nazar se sañwar gayā koī
kisī ke pañw kī aahaT ki dil kī dhaḌkan thī
hazār bar uThā sū-e-dar gayā koī
nasīb-e-ahl-e-wafā ye sukūn-e-dil to na thā
zarūr nāla-e-dil be-asar gayā koī
uThā phir aaj mere dil meñ rashk kā tūfāñ
phir un kī rah se bā-chashm-e-tar gayā koī
ye kah ke yaad kareñge 'hafīz' dost mujhe
wafā kī rasm ko pāinda kar gayā koī
- Book : Nuquush Lahore (Pg. 202)
- Author : Mohd Tufai
- Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore ( Feb.1956)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.