Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kuchh kahun kahna jo mera kijiye

Aasi Ghazipuri

kuchh kahun kahna jo mera kijiye

Aasi Ghazipuri

MORE BYAasi Ghazipuri

    kuchh kahūñ kahnā jo merā kījiye

    chāhne vaale ko chāhā kījiye

    hausla teġh-e-jafā rah na jaa.e

    aa.iye ḳhūn-e-tamannā kījiye

    fitna-e-roz-e-qayāmat hai vo chaal

    aaj vo aate haiñ dekhā kījiye

    kis ko dekhā un sūrat dekh kar

    meñ aatā hai ki sajda kījiye

    fitne sab barpā kiye haiñ husn ne

    merī ulfat ko na rusvā kījiye

    hūr-e-jannat un se kuchh baḌh kar sahī

    ek dil kyā kyā tamannā kījiye

    kar diyā hairat ne mujh ko ā.īna

    be-takalluf muñh dikhāyā kījiye

    josh meñ aa jaa.e rahmat tarah

    ek ik qatre ko dariyā kījiye

    naam agar darkār hai misl-e-nagīñ

    ek ghar meñ jam ke baiThā kījiye

    mil chuke ab milne vaale ḳhaak ke

    qabr par ke royā kījiye

    kaun thā kal bā.is-e-be-pardagī

    aap mujh se aaj pardā kījiye

    kal bātoñ meñ to kuchh narmī hai

    aaj phir qāsid ravānā kījiye

    raah takte takte 'āsī' chal basā

    kyuuñ kisī se aap va.adā kījiye

    kuchh kahun kahna jo mera kijiye

    chahne wale ko chaha kijiye

    hausla tegh-e-jafa ka rah na jae

    aaiye KHun-e-tamanna kijiye

    fitna-e-roz-e-qayamat hai wo chaal

    aaj wo aate hain dekha kijiye

    kis ko dekha un ki surat dekh kar

    ji mein aata hai ki sajda kijiye

    fitne sab barpa kiye hain husn ne

    meri ulfat ko na ruswa kijiye

    hur-e-jannat un se kuchh baDh kar sahi

    ek dil kya kya tamannā kijiye

    kar diya hairat ne mujh ko aaina

    be-takalluf munh dikhaya kijiye

    josh mein aa jae rahmat ki tarah

    ek ek qatre ko dariya kijiye

    nam agar darkar hai misl-e-nagin

    ek ghar mein jam ke baiTha kijiye

    mil chuke ab milne wale KHak ke

    qabr par ja ja ke roya kijiye

    kaun tha kal bais-e-be-pardagi

    aap mujh se aaj parda kijiye

    kal ki baaton mein to kuchh narmi si hai

    aaj phir qasid rawana kijiye

    rah takte takte 'asi' chal basa

    kyun kisi se aap wada kijiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now