kuchh nahin khulta mujhe main kaun hun
kuchh nahin khulta mujhe main kaun hun
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
kuchh nahīñ khultā mujhe maiñ kaun huuñ
sūrat-e-hairat huuñ yā shakl-e-junūñ
'ishq hai surma-e-dīvāngī
sahr kab paatā hai us ko aur fusūñ
āh-o-nāla ne mujhe rusvā kiyā
varna pinhāñ thā mirā rāz-e-darūñ
gar na bahte laḳht-e-dil āñkhoñ kī raah
rashk ashk aisā na hotā rashk-e-kHūñ
husn-e-jānāñ jalva-gar har shai meñ hai
diid meñ apne nahīñ koī zabūñ
kaun pā saktā hai mujh gum-gashta ko
diin DhūñDhe aake yā duniyā-e-dūñ
jis ne pahchānā hai apne aap ko
hai 'niyāz' apne qadam par sar-nigūñ
kuchh nahin khulta mujhe main kaun hun
surat-e-hairat hun ya shakl-e-junun
'ishq hai surma-e-diwangi
sahr kab pata hai us ko aur fusun
aah-o-nala ne mujhe ruswa kiya
warna pinhan tha mera raaz-e-darun
gar na bahte laKHt-e-dil aankhon ki rah
rashk ashk aisa na hota rashk-e-kHun
husn-e-jaanan jalwa-gar har shai mein hai
did mein apne nahin koi zabun
kaun pa sakta hai mujh gum-gashta ko
din DhunDhe aake ya duniya-e-dun
jis ne pahchana hai apne aap ko
hai 'niyaz' apne qadam par sar-nigun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.