kuchh nahin ye aamad-e-fasl-e-bahaaran kuchh nahin
kuchh nahīñ ye āmad-e-fasl-e-bahārāñ kuchh nahīñ
ye ghaTā.eñ kuchh nahīñ ye abr-e-bārāñ kuchh nahīñ
ye havā.eñ ThanDī ThanDī ye phuvāreñ narm narm
ye fazā-e-mast ye mastī kā unvāñ kuchh nahīñ
ābshāroñ kī tabassum-reziyoñ kī aaḌ meñ
mustaqil mausīqiyat kī rūh-e-larzāñ kuchh nahīñ
vādiyāñ sarshār-e-mastī mai-kada bar-dosh hoñ
zarra zarra ho agar jannat-ba-dāmāñ kuchh nahīñ
ho kalīsā-e-chaman iisā nafas maryam sifat
ye achhūte phuul ye ma.asūm kaliyāñ kuchh nahīñ
laakh jāma-pārsā hoñ ye saman-o-yāsman
ye riyā-e-sādagī meñ rañg-raliyāñ kuchh nahīñ
kuchh nahīñ ye qais sāmānī-e-lailā hai fareb
ḳhvāb-e-majnūñ kā muraqqa.a sumbulistāñ kuchh nahīñ
haañ ye qalb-e-hasan kī dhaḌkan ye ġhunchoñ kī chaTak
rañg-o-bū shauq-o-hayā kā ahd-o-paimāñ kuchh nahīñ
jannatī hūroñ kā barzaḳh ye mahak ye nik.hateñ
ye misālī jism vaale pāk-dāmāñ kuchh nahīñ
hañs rahe hoñge parī-paikar guloñ kī aaḌ meñ
pañkhuḌī kī oT meñ hogā paristāñ kuchh nahīñ
farsh-e-gul par ishva-e-qudsī nazādān-e-chaman
arsh-e-gul par jalva-e-rabb-e-gulistāñ kuchh nahīñ
ye mazāhir ye manāzir hech haiñ tere baġhair
haañ ye jannāt-e-na.īm-o-rūh-o-raihāñ kuchh nahīñ
tū bahār-e-husn hai terī nazar husn-e-bahār
tū nahīñ to ye gulistāñ kā gulistāñ kuchh nahīñ
kuchh nahin ye aamad-e-fasl-e-bahaaran kuchh nahin
ye ghaTaen kuchh nahin ye abr-e-baran kuchh nahin
ye hawaen ThanDi ThanDi ye phuwaren narm narm
ye faza-e-mast ye masti ka unwan kuchh nahin
aabshaaron ki tabassum-reziyon ki aaD mein
mustaqil mausiqiyat ki ruh-e-larzan kuchh nahin
wadiyan sarshaar-e-masti mai-kada bar-dosh hon
zarra zarra ho agar jannat-ba-daman kuchh nahin
ho kalisa-e-chaman isa nafas maryam sifat
ye achhute phul ye masum kaliyan kuchh nahin
lakh jama-parsa hon ye saman-o-yasman
ye riya-e-sadagi mein rang-raliyan kuchh nahin
kuchh nahin ye qais samani-e-laila hai fareb
KHwab-e-majnun ka muraqqa sumbulistan kuchh nahin
han ye qalb-e-hasan ki dhaDkan ye ghunchon ki chaTak
rang-o-bu shauq-o-haya ka ahd-o-paiman kuchh nahin
jannati huron ka barzaKH ye mahak ye nikhaten
ye misali jism wale pak-daman kuchh nahin
hans rahe honge pari-paikar gulon ki aaD mein
pankhuDi ki oT mein hoga paristan kuchh nahin
farsh-e-gul par ishwa-e-qudsi nazadan-e-chaman
arsh-e-gul par jalwa-e-rabb-e-gulistan kuchh nahin
ye mazahir ye manazir hech hain tere baghair
han ye jannat-e-naim-o-ruh-o-raihan kuchh nahin
tu bahaar-e-husn hai teri nazar husn-e-bahaar
tu nahin to ye gulistan ka gulistan kuchh nahin
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 139)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.