kucha-e-zulf-e-sanam mein ahl-e-dil jate hain kyun
kūcha-e-zulf-e-sanam meñ ahl-e-dil jaate haiñ kyuuñ
aur jaate haiñ to dil sī chiiz chhoḌ aate haiñ kyuuñ
sham.a ke mānind hai apnā bhī kyā soz-o-gudāz
sūrat-e-parvāna dushman ham se jal jaate haiñ kyuuñ
kuchh tasavvur hai tumhārā yā tumhīñ har shai meñ ho
dekhiye jo chiiz aap us meñ nazar aate haiñ kyuuñ
kūcha-e-chāk-e-garebāñ kūcha-e-jānāñ nahīñ
qatra-hā-e-ashk-e-hasrat sar ke bal aate haiñ kyuuñ
kohkan kohsār meñ sahrā meñ majnūñ hai ḳharāb
chhoḌ kar kūche ko tere Thokareñ khāte haiñ kyuuñ
maġhz-e-sirr-e-ġhaib shāyad post-kanda kah diyā
khaal sarmad kī hamārī tarh khichvāte haiñ kyuuñ
jhuuT kyuuñ kahtā hai ai qāsid ki vo aate nahīñ
vo agar aate nahīñ ham aap meñ aate haiñ kyuuñ
zo.af ke baa.is to ham bistar se uTh sakte nahīñ
ab koī pūchhe ki duniyā se uThe jaate haiñ kyuuñ
bhāgtā hai ham-kinārī se jo vo dariyā-e-husn
ham basān-e-mauj dast-e-shauq phailāte haiñ kyuuñ
un kī hasrat ke sivā hai kaun is meñ dūsrā
dil kī ḳhalvat meñ bhī vo āshiq se sharmāte haiñ kyuuñ
va.ada kī shab bhej dete haiñ tasavvur maañg kā
jab unheñ aanā nahīñ to raah dikhlāte haiñ kyuuñ
tū hī āshiq meñ hai yā kuchh mahviyat hai 'ishq kī
har rag-o-pai meñ tujhe ai jaan ham paate haiñ kyuuñ
mil chuke ab aa ke vo bichhḌe hue hosh-o-havās
qāfile meñ ham jaras kī tarh chillāte haiñ kyuuñ
aarzū ye hai tumhārā āñchal āñkhoñ se lage
kuchh samajhte ho ki ham rote hue aate haiñ kyuuñ
roz-e-bāzār-e-jazā hai aur ḳhālī apne haath
jab samajhnā thā na samjhe aaj pachhtāte haiñ kyuuñ
jā-e-hairat hai tilism-e-ittihād-e-husn-o-ishq
ā.īna jab dekhte haiñ ham tujhe paate haiñ kyuuñ
putliyoñ par chāhiye rakhnā ġham-e-dildār ko
dāġh-hā-e-dil hamāre aañkh dikhlāte haiñ kyuuñ
āshiqān-e-zār par chashm-e-tavajjoh ḳhair hai
aap dāmān-e-nigah kāñToñ meñ uljhāte haiñ kyuuñ
ham ne maanā dām-e-gesū meñ nahīñ 'āsī' asiir
baaġh meñ nazzāra-e-sumbul se ghabrāte haiñ kyuuñ
kucha-e-zulf-e-sanam mein ahl-e-dil jate hain kyun
aur jate hain to dil si chiz chhoD aate hain kyun
shama ke manind hai apna bhi kya soz-o-gudaz
surat-e-parwana dushman hum se jal jate hain kyun
kuchh tasawwur hai tumhaara ya tumhin har shai mein ho
dekhiye jo chiz aap us mein nazar aate hain kyun
kucha-e-chaak-e-gareban kucha-e-jaanan nahin
qatra-ha-e-ashk-e-hasrat sar ke bal aate hain kyun
kohkan kohsar mein sahra mein majnun hai KHarab
chhoD kar kuche ko tere Thokaren khate hain kyun
maghz-e-sirr-e-ghaib shayad post-kanda kah diya
khaal sarmad ki hamari tarh khichwate hain kyun
jhuT kyun kahta hai ai qasid ki wo aate nahin
wo agar aate nahin hum aap mein aate hain kyun
zoaf ke bais to hum bistar se uTh sakte nahin
ab koi puchhe ki duniya se uThe jate hain kyun
bhagta hai ham-kinari se jo wo dariya-e-husn
hum basan-e-mauj dast-e-shauq phailate hain kyun
un ki hasrat ke siwa hai kaun is mein dusra
dil ki KHalwat mein bhi wo aashiq se sharmate hain kyun
wada ki shab bhej dete hain tasawwur mang ka
jab unhen aana nahin to rah dikhlate hain kyun
tu hi aashiq mein hai ya kuchh mahwiyat hai 'ishq ki
har rag-o-pai mein tujhe ai jaan hum pate hain kyun
mil chuke ab aa ke wo bichhDe hue hosh-o-hawas
qafile mein hum jaras ki tarh chillate hain kyun
aarzu ye hai tumhaara aanchal aankhon se lage
kuchh samajhte ho ki hum rote hue aate hain kyun
roz-e-bazar-e-jaza hai aur KHali apne hath
jab samajhna tha na samjhe aaj pachhtate hain kyun
ja-e-hairat hai tilism-e-ittihad-e-husn-o-ishq
aaina jab dekhte hain hum tujhe pate hain kyun
putliyon par chahiye rakhna gham-e-dildar ko
dagh-ha-e-dil hamare aankh dikhlate hain kyun
aashiqan-e-zar par chashm-e-tawajjoh KHair hai
aap daman-e-nigah kanTon mein uljhate hain kyun
hum ne mana dam-e-gesu mein nahin 'asi' asir
bagh mein nazzara-e-sumbul se ghabraate hain kyun
- Book : Diwan-e-aasi (Pg. 37)
- Author : Aasi Ghazipuri
- Publication : Subhanallah Azeem Gorakhpuri (1938)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.