kya hua gar chashm-e-tar se KHun Tapak kar rah gaya
kyā huā gar chashm-e-tar se ḳhuuñ Tapak kar rah gayā
bāda-e-gulgūñ kā sāġhar thā chhalak kar rah gayā
dil svād-e-zulf meñ DhūñDe hai rastā maañg kā
raah jo bhūlā musāfir so bhaTak kar rah gayā
saiñkaḌoñ mar mar ga.e haiñ ishq ke hāthoñ se aah
maiñ hī kyā patthar se apnā sar paTak kar rah gayā
ham-rahāñ pahuñche kabhī ke manzil-e-maqsūd ko
do qadam chalte hī maiñ haihāt thak kar rah gayā
taab us baalī ke motī kī nahīñ kyā zulf meñ
ai dil-e-āshufta sach kah kyuuñ tū bik kar rah gayā
sar-zamīn-e-shām meñ taarā girā thā TuuT kar
yā añdherī raat meñ jugnūñ chamak kar rah gayā
turfat-ul-ain us kī mizhgāñ kī tasavvur se 'nasīr'
ḳhaar sā āñkhoñ meñ merī kuchh khaTak kar rah gayā
kya hua gar chashm-e-tar se KHun Tapak kar rah gaya
baada-e-gulgun ka saghar tha chhalak kar rah gaya
dil swad-e-zulf mein DhunDe hai rasta mang ka
rah jo bhula musafir so bhaTak kar rah gaya
sainkaDon mar mar gae hain ishq ke hathon se aah
main hi kya patthar se apna sar paTak kar rah gaya
ham-rahan pahunche kabhī ke manzil-e-maqsud ko
do qadam chalte hi main haihat thak kar rah gaya
tab us baali ke moti ki nahin kya zulf mein
ai dil-e-ashufta sach kah kyun tu bik kar rah gaya
sar-zamin-e-sham mein tara gira tha TuT kar
ya andheri raat mein jugnun chamak kar rah gaya
turfat-ul-ain us ki mizhgan ki tasawwur se 'nasir'
KHar sa aankhon mein meri kuchh khaTak kar rah gaya
- Book : Intikhab-e-Kulliyat-e-Shah Naseer, Edited: Hafiz Mohammad Akbar (Pg. 6)
- Author : Shah Naseer
- Publication : Aalaa Pres Merath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.