Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kya hui meri jawani josh par aai hui

Riyaz Khairabadi

kya hui meri jawani josh par aai hui

Riyaz Khairabadi

kyā huī merī javānī josh par aa.ī huī

haaye vo nāzuk-gulābī merī chhalkā.ī huī

jalva-gah meñ aaj ye kis tamāshā.ī huī

tuur se ham le ke aa.e aañkh pathrā.ī huī

hashr meñ fitnoñ se achchhī bazm-e-ārā.ī huī

aa ke duniyā ḳhud tamāshā ḳhud tamāshā.ī huī

ye bhī shāmat thī mire a.amāl laa.ī huī

sab se pahle hashr ke din merī rusvā.ī huī

maiñ chalā dozaḳh ko lekin us rahmat dekh le

aañkh merī sū-e-kausar aaj lalchā.ī huī

us Thokar ke nishāñ sab ban ga.e dāġh-e-sujūd

ye jabīñ hai kis but-e-kāfir Thukrā.ī huī

hashr meñ qātil ne dekhī hai lahū koi chhīñT

sū-e-dāman kyuuñ jhukī hai aañkh sharmā.ī huī

tāzgī aa ga.ī un tabassum dekh kar

khil uThīñ kaliyāñ mere madfan murjhā.ī huī

rah ga.ī yād-e-javānī vo javānī ab kahāñ

dāġh-e-dāman hai miTe sar josh chhalkā.ī huī

dekhte vo bhī to aa jaate zarūr āñkhoñ meñ ashk

dil se ruḳhsat us tarah dil shakebā.ī huī

ai qayāmat aa bhī terā ho rahā hai intizār

un ke dar par laash ik rakhī hai kafnā.ī huī

nīm-uryāñ kuchh numā.ish husn thī vasl meñ

chheḌ ne ko raat hiila un añgḌā.ī huī

ḳhaak phāñkī masjidoñ meñ rahe jab ham kabhī

mai-kadoñ meñ aa rahe bāda-paimā.ī huī

har lahad se saaf miltā hai qayāmat javāb

ḳhaak dar dar chhāntī hai un Thukrā.ī huī

manziloñ pīchhe haiñ rāh-e-ishq meñ farhād-o-qais

ye hañseñ us ko ab aisī merī rusvā.ī huī

rāt-din añgḌā.iyāñ vo leñ merī āġhosh meñ

jin hasīnoñ ke liye paidā ye añgḌā.ī huī

vo bhī ghabrā.e hue thī baat bhī thī sharm

rah ga.ī hoñThoñ meñ dab kar hoñTh tak aa.ī huī

naam hai mai nahīñ talḳhī nahīñ tezī nahīñ

muddatoñ zāhid ne hai merī khiñchvā.ī huī

hai numāyāñ aaj sab mīnā-parastoñ meñ 'riyāz'

jām-e-jam se baḌh ke qadr-e-jām-e-mīnā.ī huī

kya hui meri jawani josh par aai hui

haye wo nazuk-gulabi meri chhalkai hui

jalwa-gah mein aaj ye kis ki tamashai hui

tur se hum le ke aae aankh pathrai hui

hashr mein fitnon se achchhi bazm-e-arai hui

aa ke duniya KHud tamasha KHud tamashai hui

ye bhi shamat thi mere aamal ki lai hui

sab se pahle hashr ke din meri ruswai hui

main chala dozaKH ko lekin us ki rahmat dekh le

aankh meri su-e-kausar aaj lalchai hui

us ki Thokar ke nishan sab ban gae dagh-e-sujud

ye jabin hai kis but-e-kafir ki Thukrai hui

hashr mein qatil ne dekhi hai lahu ki koi chhinT

su-e-daman kyun jhuki hai aankh sharmai hui

tazgi si aa gai un ka tabassum dekh kar

khil uThin kaliyan mere madfan ki murjhai hui

rah gai yaad-e-jawani wo jawani ab kahan

dagh-e-daman hai miTe sar josh chhalkai hui

dekhte wo bhi to aa jate zarur aankhon mein ashk

dil se ruKHsat us tarah dil ki shakebai hui

ai qayamat aa bhi tera ho raha hai intizar

un ke dar par lash ek rakhi hai kafnai hui

nim-uryan kuchh numaish husn ki thi wasl mein

chheD ne ko raat hila un ki angDai hui

KHak phanki masjidon mein ja rahe jab hum kabhi

mai-kadon mein aa rahe tu baada-paimai hui

har lahad se saf milta hai qayamat ka jawab

KHak dar dar chhanti hai un ki Thukrai hui

manzilon pichhe hain rah-e-ishq mein farhad-o-qais

ye hansen us ko ab aisi meri ruswai hui

raat-din angDaiyan wo len meri aaghosh mein

jin hasinon ke liye paida ye angDai hui

wo bhi ghabrae hue thi baat bhi thi sharm ki

rah gai honThon mein dab kar honTh tak aai hui

nam hai mai bu nahin talKHi nahin tezi nahin

muddaton zahid ne pi hai meri khinchwai hui

hai numayan aaj sab mina-paraston mein 'riyaz'

jam-e-jam se baDh ke qadr-e-jam-e-minai hui

Source :
  • Book : Riyaaz-e-Rizwan (Pg. 437)
  • Author : Riyaz Khairabadi
  • Publication : Kitaab Manzil, Lahore (1961)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now