kya jaane kis ki ghat mein nikla kasa hua
kya jaane kis ki ghat mein nikla kasa hua
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
kyā jaane kis kī ghaat meñ niklā kasā huā
vo shoḳh haath qatl jahāñ par rasā huā
apnā to mulk dil hai kabhī se ujaḌ gayā
lekin charāġh-e-dāġh se kuchh hai basā huā
dil ḳhāna-e-ḳhudā hai sanam is ko mat girā
mumkin nahīñ jo phir base ye ghar girā huā
hargiz na aa.ī mehr tujhe mere haal par
har chand āh-o-nāla ba-sub.h-o-masā huā
hotā hai koī ḳhanda-e-gul se shagufta dil
us ġhuncha-e-lab ko dekhā hai jis ne hañsā huā
ai murġh-e-dil ukhaḌ ga.e jab bāl-o-par mire
kah kyā karegā daam se chhuT kar phañsā huā
phūlā nahīñ samātā hai jaame meñ apne phuul
yā us kī bū meñ pairahan apnā basā huā
baiThā nahīñ hai aisā mire dil meñ dard-o-ġham
bin jī liye jo nikle ye kāfir dhañsā huā
maarā tumhārī zulf kā hargiz na bach sake
sau baar bach rahā jo ye af’ī Dasā huā
huuñ maiñ 'niyāz'-mañd janāb-e-amīr kā
is vāste maiñ sāhib-e-fikr-e-rasā huā
sun-sun ke shor-e-'ishq ke hālāt ai 'niyāz'
Dar-Dar ke dil baġhal meñ hai jaatā dhañsā huā
kya jaane kis ki ghat mein nikla kasa hua
wo shoKH hath qatl jahan par rasa hua
apna to mulk dil hai kabhi se ujaD gaya
lekin charagh-e-dagh se kuchh hai basa hua
dil KHana-e-KHuda hai sanam is ko mat gira
mumkin nahin jo phir base ye ghar gira hua
hargiz na aai mehr tujhe mere haal par
har chand aah-o-nala ba-subh-o-masa hua
hota hai koi KHanda-e-gul se shagufta dil
us ghuncha-e-lab ko dekha hai jis ne hansa hua
ai murgh-e-dil ukhaD gae jab baal-o-par mere
kah kya karega dam se chhuT kar phansa hua
phula nahin samata hai jame mein apne phul
ya us ki bu mein pairahan apna basa hua
baiTha nahin hai aisa mere dil mein dard-o-gham
bin ji liye jo nikle ye kafir dhansa hua
mara tumhaari zulf ka hargiz na bach sake
sau bar bach raha jo ye af’i Dasa hua
hun main 'niyaz'-mand janab-e-amir ka
is waste main sahib-e-fikr-e-rasa hua
sun-sun ke shor-e-'ishq ke haalat ai 'niyaz'
Dar-Dar ke dil baghal mein hai jata dhansa hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.