kya KHud-parast-o-dair-parast-o-KHuda-parast
kya KHud-parast-o-dair-parast-o-KHuda-parast
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
kyā ḳhud-parast-o-dair-parast-o-ḳhudā-parast
jab ḳhuub dekhiye to ye sab haiñ havā-parast
jis din se bū-e-zulf le aa.ī hai apne saath
is gulshan-e-jahāñ meñ huā huuñ sabā-parast
sab ko jahāñ meñ da.avā-e-ulfat hai dostāñ
koī nahīñ paḌā hai nazar-āshnā-parast
sūrat-parast-o-rāj-parast-o-sanam-parast
ma.anī meñ dekhiye to sabhī haiñ ḳhudā-parast
qātil ne pā.emāl kiyā jab se ḳhūn-e-'ishq'
sab shaġhl chhoḌ kar vo huā hai hinā-parast
kya KHud-parast-o-dair-parast-o-KHuda-parast
jab KHub dekhiye to ye sab hain hawa-parast
jis din se bu-e-zulf le aai hai apne sath
is gulshan-e-jahan mein hua hun saba-parast
sab ko jahan mein dawa-e-ulfat hai dostan
koi nahin paDa hai nazar-ashna-parast
surat-parast-o-raj-parast-o-sanam-parast
mani mein dekhiye to sabhi hain KHuda-parast
qatil ne paemal kiya jab se KHun-e-'ishq'
sab shaghl chhoD kar wo hua hai hina-parast
- Book : Kulliyat-e-Ruknuddin Ishq aur Unki Hayat aur Shaeri (Pg. 85)
- Author : Quraisha Husain
- Publication : The Azad Press, Patna (1979)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.