kya nazar aata tujhe aalam teri tanwir ka
kyā nazar aatā tujhe aalam tirī tanvīr kā
nuur āñkhoñ ko milā thā dīda-e-tasvīr kā
maiñ zabān-e-ḳhāma huuñ ḳhūgar nahīñ taqrīr kā
ham-zabāñ huuñ is chaman meñ bulbul-e-tasvīr kā
mai se chullū bhar de saaqī jaam kā kyā intizār
abr aayā jhuum kar mauqa nahīñ tāḳhīr kā
husn ke nashsha meñ kuchh parvā na tujh ko is kī ho
ḳhāma-e-bahzād muñh chūmā kare tasvīr kā
lāġharī baḳhshī mujhe dīvāngī ne is qadar
ban gayā huuñ mardumak maiñ dīda-e-zanjīr kā
vo sarāpā nuur hai to sāda-kāroñ ne kahā
chāhiye zevar ko sonā mehr-e-pur-tanvīr kā
kushta-e-ḳhāmūshī-e-dildār huuñ maiñ ai nadīm
maiñ ne paa.ī hai zabāñ but kī dahan tasvīr kā
mad.h-e-ḳhatt-e-mus.haf-e-tābāñ vo sun kar bol uThā
martaba qur.ān se baḌh kar nahīñ tafsīr kā
zab.h kartī hai judā.ī mujh ko us kī sub.h-e-vasl
ḳhvāb se chauñk ai mo.azzin vaqt hai takbīr kā
zāhirī zīnat se lutf-e-bātinī mumkin nahīñ
dekh lo be-kār hai par bulbul-e-tasvīr kā
mujh ko ye haT hai ki ab tadbīr se tañg aa gayā
un ko ye zid hai ki maiñ qaa.el nahīñ taqdīr kā
sūrat-e-bismil taḌaptā huuñ ai jān-e-sub.h-e-vasl
kam nahīñ ḳhanjar se mujh ko zamzama takbīr kā
huuñ vo barbād-e-jahāñ naqsha jo mushkil se khiñchā
rañg ban kar uḌ gayā kāġhaz merī tasvīr kā
naḳhl-band-e-gulshan-e-mazmūñ huuñ faiz-e-fikr se
har varaq dīvāñ kā mere baaġh hai kashmīr kā
aarzū thī karbalā meñ dafn hote 'arsh' ham
dekhte mar kar bhī rauza hazrat-e-shabbīr kā
kya nazar aata tujhe aalam teri tanwir ka
nur aankhon ko mila tha dida-e-taswir ka
main zaban-e-KHama hun KHugar nahin taqrir ka
ham-zaban hun is chaman mein bulbul-e-taswir ka
mai se chullu bhar de saqi jam ka kya intizar
abr aaya jhum kar mauqa nahin taKHir ka
husn ke nashsha mein kuchh parwa na tujh ko is ki ho
KHama-e-bahzad munh chuma kare taswir ka
laghari baKHshi mujhe diwangi ne is qadar
ban gaya hun mardumak main dida-e-zanjir ka
wo sarapa nur hai to sada-karon ne kaha
chahiye zewar ko sona mehr-e-pur-tanwir ka
kushta-e-KHamushi-e-dildar hun main ai nadim
main ne pai hai zaban but ki dahan taswir ka
madh-e-KHatt-e-mushaf-e-taban wo sun kar bol uTha
martaba quran se baDh kar nahin tafsir ka
zabh karti hai judai mujh ko us ki subh-e-wasl
KHwab se chaunk ai moazzin waqt hai takbir ka
zahiri zinat se lutf-e-baatini mumkin nahin
dekh lo be-kar hai par bulbul-e-taswir ka
mujh ko ye haT hai ki ab tadbir se tang aa gaya
un ko ye zid hai ki main qael nahin taqdir ka
surat-e-bismil taDapta hun ai jaan-e-subh-e-wasl
kam nahin KHanjar se mujh ko zamzama takbir ka
hun wo barbaad-e-jahan naqsha jo mushkil se khincha
rang ban kar uD gaya kaghaz meri taswir ka
naKHl-band-e-gulshan-e-mazmun hun faiz-e-fikr se
har waraq diwan ka mere bagh hai kashmir ka
aarzu thi karbala mein dafn hote 'arsh' hum
dekhte mar kar bhi rauza hazrat-e-shabbir ka
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 44)
- Author : Allama Syed Zameeruddeen Ahmad
- Publication : Fine Art Press (1932)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.