kya puchhte ho mujhse kahan main kahan ki baat
kya puchhte ho mujhse kahan main kahan ki baat
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
kyā pūchhte ho mujh se kahāñ maiñ kahāñ kī baat
ġhunchoñ ke muñh talak to hai us ke vahāñ kī baat
kuchh gosh-zad huī hai to us kī hameñ kabhī
suntā hai kaun kahte ho kis se jahāñ kī baat
ye mīThī-mīThī bāteñ namak-rez dil pe haiñ
apne liye maiñ suntā huuñ shor-o-fuġhāñ kī baat
sargoshī un ’azīzoñ kī ḳhālī nahīñ hai yaar
pahuñchī hai un ke kānoñ meñ kuchh imtihāñ kī baat
ġhunchoñ ke muñh se phuul jhaḌeñ go suḳhan ke biich
lazzat judā hī rakhtī hai us kī zabāñ kī baat
ḳhātir-nishāñ hamāre kisī tarh se na ho
jab tak kahe na 'ishq' koī be-nishāñ kī baat
kya puchhte ho mujh se kahan main kahan ki baat
ghunchon ke munh talak to hai us ke wahan ki baat
kuchh gosh-zad hui hai to us ki hamein kabhi
sunta hai kaun kahte ho kis se jahan ki baat
ye miThi-miThi baaten namak-rez dil pe hain
apne liye main sunta hun shor-o-fughan ki baat
sargoshi un ’azizon ki KHali nahin hai yar
pahunchi hai un ke kanon mein kuchh imtihan ki baat
ghunchon ke munh se phul jhaDen go suKHan ke bich
lazzat juda hi rakhti hai us ki zaban ki baat
KHatir-nishan hamare kisi tarh se na ho
jab tak kahe na 'ishq' koi be-nishan ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.