kya qayamat tha wo jalwa teri ra’nai ka
kyā qayāmat thā vo jalva tirī rā’nā.ī kā
tujh se dekhā na gayā haal tamāshā.ī kā
tazkira farz hī kyā hai tirī ra.anā.ī kā
sach to ye hai ki mujhe shauq hai rusvā.ī kā
hairat-e-jalva se chhāyā hai añdherā har sū
tere jalvoñ meñ hai 'ālam shab-e-tanhā.ī kā
mujh ko ġhairat ki tumheñ dekh rahī hai duniyā
mutma.in tum ki tamāshā hai ye saudā.ī kā
de nigāhoñ ko na taklīf tamāshā-e-jahāñ
raaz hai terī nazar meñ mirī rusvā.ī kā
mutma.in ho ga.e kuchh dekh ke ā.īne meñ tum
tumheñ andāz kahāñ 'ishq kī gahrā.ī kā
dost masrūf-e-parastārī-e-ḳhud hai 'maikash'
mo'tabar aaj nahīñ zo’m shanāsā.ī kā
kya qayamat tha wo jalwa teri ra’nai ka
tujh se dekha na gaya haal tamashai ka
tazkira farz hi kya hai teri ranai ka
sach to ye hai ki mujhe shauq hai ruswai ka
hairat-e-jalwa se chhaya hai andhera har su
tere jalwon mein hai 'alam shab-e-tanhai ka
mujh ko ghairat ki tumhein dekh rahi hai duniya
mutmain tum ki tamasha hai ye saudai ka
de nigahon ko na taklif tamasha-e-jahan
raaz hai teri nazar mein meri ruswai ka
mutmain ho gae kuchh dekh ke aaine mein tum
tumhein andaz kahan 'ishq ki gahrai ka
dost masruf-e-parastari-e-KHud hai 'maikash'
mo'tabar aaj nahin zo’m shanasai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.