kya tu bhi tamasha hai ai jalwa-e-jaanana
kyā tū bhī tamāsha hai ai jalva-e-jānāna
parda meñ to tū ḳhud hai aur ḳhalq hai dīvāna
idrāk se bar tire hai a.alam mutahayyar hai
tū kaun hai kyā shai hai hairān hai farzāna
jaañ dāda-e-ulfat huuñ vābasta-e-gesū huuñ
vārafta huuñ be-ḳhud huuñ dīvāna huuñ dīvāna
dil meñ hai talab terī sar meñ hai tirā saudā
āñkhoñ meñ mare tū hai mastāna huuñ mastāna
suufī ho barahman ho yā rind-e-ḳharābātī
ka.aba ho kalīsā ho ho shahar ki vīrāna
tū sab kī zabāñ par hai jalvā hai tirā har-jā
sab khel haiñ ye tere ai jalva-e-jānāna
is mashrab-e-ḳhasta kī bas itnī tamannā hai
apne se shanāsā kar aġhyār se begāna
kya tu bhi tamasha hai ai jalwa-e-jaanana
parda mein to tu KHud hai aur KHalq hai diwana
idrak se bar tere hai aalam mutahayyar hai
tu kaun hai kya shai hai hairan hai farzana
jaan dada-e-ulfat hun wabasta-e-gesu hun
warafta hun be-KHud hun diwana hun diwana
dil mein hai talab teri sar mein hai tera sauda
aankhon mein mare tu hai mastana hun mastana
sufi ho barahman ho ya rind-e-KHarabaati
kaba ho kalisa ho ho shahar ki virana
tu sab ki zaban par hai jalwa hai tera har-ja
sab khel hain ye tere ai jalwa-e-jaanana
is mashrab-e-KHasta ki bas itni tamanna hai
apne se shanasa kar aghyar se begana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.