Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kyuñ na le gulshan se baj us arġhawāñ-sīmā kā rañg

Meer Muhammad Bedar

kyuñ na le gulshan se baj us arġhawāñ-sīmā kā rañg

Meer Muhammad Bedar

MORE BYMeer Muhammad Bedar

    kyuuñ na le gulshan se baaj us arġhavāñ-sīmā rañg

    gul se hai ḳhush-rañg-tar us ke hinā.ī rañg

    jūñ-hī muñh par se uThā baaġh meñ aa kar naqāb

    uḌ gayā rañg-e-chaman dekh us ruḳh-e-zebā rañg

    sar pe dastār-e-basantī bar meñ jaama qurmuzī

    khub gayā dil meñ hamāre us gul-e-ra.anā rañg

    aaj saaqī dekh kyā hai ajab rañgīn huā

    surḳh mai kaalī ghaTā aur sabz hai miinā rañg

    de is abr-e-siyah meñ jaam jaldī se mujhe

    dil bharā aatā hai merā dekh kar sahbā rañg

    jis taraf dekhūñ huuñ ab 'bedār' tere ashk se

    ho rahā hai surḳh yaksar dāman-e-sahrā rañg

    kyuñ na le gulshan se baj us arġhawāñ-sīmā rañg

    gul se hai ḳhush-rañg-tar us ke hināī rañg

    jūñ-hī muñh par se uThā baġh meñ aa kar naqāb

    uḌ gayā rañg-e-chaman dekh us ruḳh-e-zebā rañg

    sar pe dastār-e-basantī bar meñ jama qurmuzī

    khub gayā dil meñ hamāre us gul-e-ranā rañg

    aaj saqī dekh kyā hai ajab rañgīn huā

    surḳh mai kalī ghaTā aur sabz hai minā rañg

    de is abr-e-siyah meñ jam jaldī se mujhe

    dil bharā aatā hai merā dekh kar sahbā rañg

    jis taraf dekhūñ huñ ab 'bedār' tere ashk se

    ho rahā hai surḳh yaksar dāman-e-sahrā rañg

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now