kyun ho nadim tum meri barbaadiyan hone ke baad
kyun ho nadim tum meri barbaadiyan hone ke baad
Maikash Akbarabadi
MORE BYMaikash Akbarabadi
kyuuñ ho nādim tum mirī barbādiyāñ hone ke ba.ad
aur afsāna koī ye dāstāñ hone ke ba.ad
khul rahī haiñ mujh pe vahshat kī adā.eñ kis qadar
kyā bhalā lagtā hai dāman dhajjiyāñ hone ke ba.ad
aaj sun lete mirā afsana-e-dard-o-alam
phir bhalā kis kī sunoge tum javāñ hone ke ba.ad
miT gayā āḳhir ko maiñ be-iltifātī se tirī
hasrateñ baḌhtī ga.iiñ nākāmiyāñ hone ke ba.ad
dil miTā jaatā hai aaj un kā ye aalam dekh kar
sharmgīñ haiñ ġhair se sargoshiyāñ hone ke ba.ad
koī pūchhe to ḳhudā-rā aaj unheñ kyā mil gayā
kis qadar ḳhush haiñ vo mere rāzdāñ hone ke ba.ad
dil meñ āñkhoñ se utarnā hī qayāmat ho gayā
aap to jaañ ho ga.e dil meñ nihāñ hone ke ba.ad
kyā kahegā koī 'maikash' ab ye khaTkā bhī gayā
ho ga.e āzād ham bad-nāmiyāñ hone ke ba.ad
kyun ho nadim tum meri barbaadiyan hone ke baad
aur afsana koi ye dastan hone ke baad
khul rahi hain mujh pe wahshat ki adaen kis qadar
kya bhala lagta hai daman dhajjiyan hone ke baad
aaj sun lete mera afsana-e-dard-o-alam
phir bhala kis ki sunoge tum jawan hone ke baad
miT gaya aaKHir ko main be-iltifati se teri
hasraten baDhti gain nakaamiyan hone ke baad
dil miTa jata hai aaj un ka ye aalam dekh kar
sharmgin hain ghair se sargoshiyan hone ke baad
koi puchhe to KHuda-ra aaj unhen kya mil gaya
kis qadar KHush hain wo mere raazdan hone ke baad
dil mein aankhon se utarna hi qayamat ho gaya
aap to jaan ho gae dil mein nihan hone ke baad
kya kahega koi 'maikash' ab ye khaTka bhi gaya
ho gae aazad hum bad-namiyan hone ke baad
- Book : Maikada (Pg. 51)
- Author : Maikash Akbarabadi
- Publication : Agra Akhbar, Agra (1931)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.