kyun jawani aai do din ke liye
kyuuñ javānī aa.ī do din ke liye
din gine jaate the is san ke liye
hirs-e-mai mujh ko nahīñ ai mai-e-farosh
ek ḳham kaafī hai do din ke liye
ye bhale sab se hamāre vāste
ham bure kin ke liye un ke liye
chheḌ merī dekhnā vaqt-e-azāñ
kaan chupke se muazzin ke liye
tū batā de tere hoñToñ ke nisār
bū se kyuuñ kar tere gin gin ke liye
hai farishtoñ kī barābar umr-e-hūr
kyā tamannā aisī kamsin ke liye
dīda-o-dil phuuT kar rote haiñ kyuuñ
jhīñkte the ham usī din ke liye
ham ne apne āshiyāñ ke vāste
jo chubhe dil meñ vahī tinke liye
tum javānī ke maze luuTo 'riyāz'
aib bhī zebā hai is sin ke liye
kyun jawani aai do din ke liye
din gine jate the is san ke liye
hirs-e-mai mujh ko nahin ai mai-e-farosh
ek KHam kafi hai do din ke liye
ye bhale sab se hamare waste
hum bure kin ke liye un ke liye
chheD meri dekhna waqt-e-azan
kan chupke se muazzin ke liye
tu bata de tere honTon ke nisar
bu se kyun kar tere gin gin ke liye
hai farishton ki barabar umr-e-hur
kya tamanna aisi kamsin ke liye
dida-o-dil phuT kar rote hain kyun
jhinkte the hum usi din ke liye
hum ne apne aashiyan ke waste
jo chubhe dil mein wahi tinke liye
tum jawani ke maze luTo 'riyaz'
aib bhi zeba hai is sin ke liye
- Book : Riyaaz-e-Rizwan (Pg. 409)
- Author : Riyaz Khairabadi
- Publication : Kitaab Manzil, Lahore (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.