Sufinama

labrez hai aatish se paimana mohabbat ka

Khwaja Ruknuddin Ishq

labrez hai aatish se paimana mohabbat ka

Khwaja Ruknuddin Ishq

MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq

    labrez hai ātish se paimāna mohabbat

    kaun is ko piye saaqī dīvāna mohabbat

    jibrīl tāqat kyā jo gird phire us ke

    jis sham.a pe jaltā hai parvāna mohabbat

    mash.hūr hue qisse us shaḳhs ke 'ālam meñ

    dil de ke sunā jis ne afsāna mohabbat

    kaunain meñ jo kuchh hai so us meñ samāyā hai

    kab 'arsh se chhoTā hai kāshāna mohabbat

    us kāfir-e-be-dīñ kyā baat kahe koī

    kā'ba ko banā Daalā but-ḳhāna mohabbat

    is jism se vahāñ jaanā hai 'ishq' baḌī mushkil

    aflāk se bālā-tar hai mai-ḳhāna mohabbat

    labrez hai aatish se paimana mohabbat ka

    kaun is ko piye saqi diwana mohabbat ka

    jibril ki taqat kya jo gird phire us ke

    jis shama pe jalta hai parwana mohabbat ka

    mashhur hue qisse us shaKHs ke 'alam mein

    dil de ke suna jis ne afsana mohabbat ka

    kaunain mein jo kuchh hai so us mein samaya hai

    kab 'arsh se chhoTa hai kashana mohabbat ka

    us kafir-e-be-din ki kya baat kahe koi

    ka'ba ko bana Dala but-KHana mohabbat ka

    is jism se wahan jaana hai 'ishq' baDi mushkil

    aflak se baala-tar hai mai-KHana mohabbat ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now