laga hai dil mera us sun ki jo murli-murari hai
lagā hai dil mirā uus suuñ ki jo murlī-murārī hai
salonā sāñvlā girdhar garuḌ jis kī savārī hai
bajā murlī ne murlī-dhar kiyā man bāvlā merā
o gobind-o-janā.ardan kī dhun murlī kī pyārī hai
chaturbhuj naam hai us kā ki jis ko vasudev kahte
chhabelī chhab o dāmodar kī tirbhañgī pyārī hai
sahas sarḳhash kuuñ gopan hor rahe sab paas sab suuñ duur
abhogī bhog le sab kā agochar baramchārī hai
siyah rañg par siyah kākul khule jagdīsh mādhav ke
pareshāñ kyuuñ na ho shāna ki rañg-e-tārtārī hai
murārī kī muravvat hor dāmodar ke darshan kā
jo mai chākhā so sat-gur siiñ ohī ab lag ḳhumārī hai
sunā updesh gurmukh siiñ mukund hai naam harjī kā
to is kā bolnā astit zahe ḳhidmat-guzārī hai
le jā ban meñ gaū saare o bindrāban ke kamal-posh
usī gopāl murlī-dhar suuñ dhun murlī kī saarī hai
na hindu nā musalmāñ ke us paḌā qaid meñ hargiz
'turāb'-e-mubtalā ke ta.iiñ diyā jo be-qarārī hai
laga hai dil mera us sun ki jo murli-murari hai
salona sanwla girdhar garuD jis ki sawari hai
baja murli ne murli-dhar kiya man bawla mera
o gobind-o-janaardan ki dhun murli ki pyari hai
chaturbhuj nam hai us ka ki jis ko wasudew kahte
chhabeli chhab o damodar ki tirbhangi pyari hai
sahas sarKHash kun gopan hor rahe sab pas sab sun dur
abhogi bhog le sab ka agochar baramchaari hai
siyah rang par siyah kakul khule jagdish madhaw ke
pareshan kyun na ho shana ki rang-e-tartari hai
murari ki murawwat hor damodar ke darshan ka
jo mai chaakha so sat-gur sin ohi ab lag KHumari hai
suna updesh gurmukh sin mukund hai nam harji ka
to is ka bolna astit zahe KHidmat-guzari hai
le ja ban mein gau sare o bindraban ke kamal-posh
usi gopal murli-dhar sun dhun murli ki sari hai
na hindu na musalman ke us paDa qaid mein hargiz
'turab'-e-mubtala ke tain diya jo be-qarari hai
- Book : Diwan-e-turab (Pg. 449)
- Author : Shah Turab Ali Dakani
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Pakistan) (1983)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.