likh ke lata hai abas shaiKH machhandar ta’wiz

likh ke lata hai abas shaiKH machhandar ta’wiz
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
likh ke laatā hai 'abas shaiḳh machhandar tā’vīz
dāġh-e-mahbūb se hai ab koī behtar tā’vīz
nau-ratan kā kareñ kis taur vo ḳhush bāzū-band
hai divānoñ ko tire kūche kā patthar tā’vīz
rasm-o-tadbīr ġhalat jaan to taqdīr pe chhoḌ
shaiḳh kis vāste karatā hai ye mantar tā’vīz
ḳhat-e-bātil kī tarh mahv ho taksīr kā 'ilm
dekh ḳhat nav-ḳhatoñ kā hove na shashdar tā’vīz
haikal-e-dāġh gulū-gīr huī hai mere
'ishq' ke dil ne kiyā jab se ye aḳhgar tā’vīz
likh ke lata hai 'abas shaiKH machhandar ta’wiz
dagh-e-mahbub se hai ab koi behtar ta’wiz
nau-ratan ka karen kis taur wo KHush bazu-band
hai diwanon ko tere kuche ka patthar ta’wiz
rasm-o-tadbir ghalat jaan to taqdir pe chhoD
shaiKH kis waste karata hai ye mantar ta’wiz
KHat-e-baatil ki tarh mahw ho taksir ka 'ilm
dekh KHat naw-KHaton ka howe na shashdar ta’wiz
haikal-e-dagh gulu-gir hui hai mere
'ishq' ke dil ne kiya jab se ye aKHgar ta’wiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.