māil-ba-karam mujh par ho jaeñ to achchhā ho
mā.il-ba-karam mujh par ho jaa.eñ to achchhā ho
maqbūl mire sajde ho jaa.eñ to achchhā ho
is dasht-navardī se pīchhā to kahīñ chhūTe
ham kūcha-e-jānāñ meñ mar jaa.eñ to achchhā ho
sar ho dar-e-jānāñ pe dam apnā nikal jaa.e
ye kaam mohabbat meñ kar jaa.eñ to achchhā ho
yuuñ to sabhī aa.e haiñ dafnāne mujhe lekin
vo bhī mirī mayyat pe aa jaa.eñ to achchhā ho
phir dard-e-judā.ī kā jhagḌā na rahe koī
ham naam tirā le kar mar jaa.eñ to achchhā ho
dekheñ na kisī ko ham phir dekh ke ruḳh terā
dīdār tirā kar ke mar jaa.eñ to achchhā ho
rah jaa.e mohabbat kā duniyā meñ bharam kuchh to
do phuul hī turbat pe dhar jaa.eñ to achchhā ho
dhaḌkā lagā rahtā hai har vaqt balāoñ kā
ham saath nasheman ke jal jaa.eñ to achchhā ho
badnām hī karne ko aa.eñ vo magar aa.eñ
vo itnā karam mujh par kar jaa.eñ to achchhā ho
jā sakte haiñ jaane ko ham chal ke 'fanā' dekheñ
vo ḳhud hameñ mahfil meñ bulvā.eñ to achchhā ho
māil-ba-karam mujh par ho jaeñ to achchhā ho
maqbūl mere sajde ho jaeñ to achchhā ho
is dasht-nawardī se pīchhā to kahīñ chhūTe
hum kūcha-e-jānāñ meñ mar jaeñ to achchhā ho
sar ho dar-e-jānāñ pe dam apnā nikal jae
ye kaam mohabbat meñ kar jaeñ to achchhā ho
yuñ to sabhī aae haiñ dafnāne mujhe lekin
wo bhī mirī mayyat pe aa jaeñ to achchhā ho
phir dard-e-judāī kā jhagḌā na rahe koī
hum nam tirā le kar mar jaeñ to achchhā ho
dekheñ na kisī ko hum phir dekh ke ruḳh terā
dīdār tirā kar ke mar jaeñ to achchhā ho
rah jae mohabbat kā duniyā meñ bharam kuchh to
do phul hī turbat pe dhar jaeñ to achchhā ho
dhaḌkā lagā rahtā hai har waqt balāoñ kā
hum sath nasheman ke jal jaeñ to achchhā ho
badnām hī karne ko aaeñ wo magar aaeñ
wo itnā karam mujh par kar jaeñ to achchhā ho
jā sakte haiñ jaane ko hum chal ke 'fanā' dekheñ
wo ḳhud hameñ mahfil meñ bulwāeñ to achchhā ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.