Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

malik-e-kaun-o-makan aasaish-e-taqdir de

Syeda Khairabadi

malik-e-kaun-o-makan aasaish-e-taqdir de

Syeda Khairabadi

MORE BYSyeda Khairabadi

    mālik-e-kaun-o-makāñ āsā.ish-e-taqdīr de

    iltijā-e-ijz ko sarmāya-e-tauqīr de

    zindagī ko kasrat-e-jadd-o-jihad darkār hai

    is liye fikr-e-amal ko sūrat-e-tadbīr de

    ek aalam ko hilā deñ tāqat-e-guftār de

    vo kamāl-e-nutq de vo shaukat-e-taqrīr de

    tā-kujā ye sūrat-e-taḳhrīb-e-millat tā-kujā

    fikr-e-muslim ko kamāl-e-hasrat-e-ta.amīr de

    phir ummīdoñ ko shuā-e-kāmrānī kar atā

    qismat-e-tārīk ko hañgāma-e-tanvīr de

    phir hadīs-e-dil se kar josh-e-aqīdat āshkār

    phir zabān-e-mudda.ā ko nāra-e-takbīr de

    phir tamannā ko sharīk-e-himmat-e-mardāna kar

    phir tahavvur ko kamāl-e-jur.at-e-shamshīr de

    iltijā-e-'sayyada' sun le barā.e mustafā

    qaum-e-muslim ko bahār-e-ālam-e-taqdīr de

    malik-e-kaun-o-makan aasaish-e-taqdir de

    iltija-e-ijz ko sarmaya-e-tauqir de

    zindagi ko kasrat-e-jadd-o-jihad darkar hai

    is liye fikr-e-amal ko surat-e-tadbir de

    ek aalam ko hila den taqat-e-guftar de

    wo kamal-e-nutq de wo shaukat-e-taqrir de

    ta-kuja ye surat-e-taKHrib-e-millat ta-kuja

    fikr-e-muslim ko kamal-e-hasrat-e-tamir de

    phir ummidon ko shua-e-kaamrani kar ata

    qismat-e-tarik ko hangama-e-tanwir de

    phir hadis-e-dil se kar josh-e-aqidat aashkar

    phir zaban-e-muddaa ko nara-e-takbir de

    phir tamanna ko sharik-e-himmat-e-mardana kar

    phir tahawwur ko kamal-e-jurat-e-shamshir de

    iltija-e-'sayyada' sun le barae mustafa

    qaum-e-muslim ko bahaar-e-alam-e-taqdir de

    Source :
    • Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 79)
    • Publication : Fine Books Printers (1993)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now