maghrur na itna ho dilbar tu aur nahin main aur nahin
maghrur na itna ho dilbar tu aur nahin main aur nahin
Purnam Allahabadi
MORE BYPurnam Allahabadi
maġhrūr na itnā ho dilbar tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
be-vaj.h na mujh se pher nazar tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
ye husn javānī ye shoḳhī hai chār-dinoñ kī rañgīnī
tū naaz na kar in bātoñ par tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
tū ek hasīñ hai lākhoñ meñ ye maan liyā maiñ ne lekin
maiñ bhī huuñ bashar tū bhī hai bashar tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
tū chāhe na kar dil se ulfat tū chāhe na rakh mujh se nisbat
maiñ terī nazar meñ ġhair magar tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
kyā ka.aba kyā masjid mandir us harjā.ī ke haiñ sab ghar
ik nuur hai sab meñ jalva-gar tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
aiboñ se mire kyuuñ kar hai zid kyā un se tujhe matlab zāhid
tū dekh na mere aib-o-hunar tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
apnoñ se nafrat Thiik nahīñ 'purnam' kā kahnā maan bhī jā
ab aa ke gale mil der na kar tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
maghrur na itna ho dilbar tu aur nahin main aur nahin
be-wajh na mujh se pher nazar tu aur nahin main aur nahin
ye husn jawani ye shoKHi hai chaar-dinon ki rangini
tu naz na kar in baaton par tu aur nahin main aur nahin
tu ek hasin hai lakhon mein ye man liya main ne lekin
main bhi hun bashar tu bhi hai bashar tu aur nahin main aur nahin
tu chahe na kar dil se ulfat tu chahe na rakh mujh se nisbat
main teri nazar mein ghair magar tu aur nahin main aur nahin
kya kaba kya masjid mandir us harjai ke hain sab ghar
ek nur hai sab mein jalwa-gar tu aur nahin main aur nahin
aibon se mere kyun kar hai zid kya un se tujhe matlab zahid
tu dekh na mere aib-o-hunar tu aur nahin main aur nahin
apnon se nafrat Thik nahin 'purnam' ka kahna man bhi ja
ab aa ke gale mil der na kar tu aur nahin main aur nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.