hamara sar hai faqat uske aastan ke liye
hamārā sar hai faqat us ke āstāñ ke liye
na kibr-o-nikHvat-o-pindār-o-izz-o-shāñ ke liye
majāz meñ haiñ paḌe chhoḌ kar haqīqat ko
kahāñ pahuñch ga.e nikle the ham kahāñ ke liye
kabhī to kushta-e-ulfat kī dil-dahī kar do
ye muntazir hai faqat ek lafz-e-hāñ ke liye
sahar ke naale mere be-sabab nahīñ nāseh
jaras kī tarah maiñ huuñ ḳhufta kārvāñ ke liye
ye gosh-e-gul meñ sadā 'andalīb kī pahuñchī
girī jo barq to mere hī āshiyāñ ke liye
natīja ḳhez huā chaak dāman-e-yūsuf
zuleḳhā daaġh banī apne ḳhānumāñ ke liye
hamāre rañj-o-mehan kī hai dāstān tavīl
kuchh is jahāñ ke liye hai kuchh us jahāñ ke liye
hamara sar hai faqat us ke aastan ke liye
na kibr-o-nikHwat-o-pindar-o-izz-o-shan ke liye
majaz mein hain paDe chhoD kar haqiqat ko
kahan pahunch gae nikle the hum kahan ke liye
kabhi to kushta-e-ulfat ki dil-dahi kar do
ye muntazir hai faqat ek lafz-e-han ke liye
sahar ke nale mere be-sabab nahin naseh
jaras ki tarah main hun KHufta karwan ke liye
ye gosh-e-gul mein sada 'andalib ki pahunchi
giri jo barq to mere hi aashiyan ke liye
natija KHez hua chaak daman-e-yusuf
zuleKHa dagh bani apne KHanuman ke liye
hamare ranj-o-mehan ki hai dastan tawil
kuchh is jahan ke liye hai kuchh us jahan ke liye
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XII (Pg. 303)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.