pur-asar itne to yarab mare nale hote
pur-asar itne to yārab mare naale hote
aah karatā maiñ jahāñ dil vo sambhāle hote
baaġh hotā koī pahlū meñ vo gul-rū hotā
mai-e-gul-rañg se labrez pyāle hote
pahle kyuuñ kākul-e-pechāñ pe hue the shaidā
ḳhauf aisā thā to ye saañp na paale hote
dasht par ḳhaak kī jānib hai irāda maftūñ
sair hotī jo kahīñ pair meñ chhāle hote
pur-asar itne to yarab mare nale hote
aah karata main jahan dil wo sambhaale hote
bagh hota koi pahlu mein wo gul-ru hota
mai-e-gul-rang se labrez pyale hote
pahle kyun kakul-e-pechan pe hue the shaida
KHauf aisa tha to ye sanp na pale hote
dasht par KHak ki jaanib hai irada maftun
sair hoti jo kahin pair mein chhaale hote
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XII (Pg. 303)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.