duniya meri nazron mein kya jaane ab kya hai
duniyā mirī nazroñ meñ kyā jaane ab kyā hai
jis vaqt se ik jalva āñkhoñ meñ samāyā hai
kyā zikr duī us meñ be-misl hai yaktā hai
har chiiz kā maljā hai har chiiz kā maavā hai
hai kaun sī shai aisī jis meñ vo nahīñ maḳhfī
jo kuchh ki nazar meñ hai us kā hī nazārā hai
kuchh us kī haqīqat par bhī tuune nazar Daalī
bāzī-gah-e-duniyā meñ kyuuñ mahv-e-tamāshā hai
duniyā se na mā-fīhā se ham ko ġharaz zāhid
mahfil hai ye rindoñ kī yā qulqul-e-mīnā hai
duniya meri nazron mein kya jaane ab kya hai
jis waqt se ek jalwa aankhon mein samaya hai
kya zikr dui us mein be-misl hai yakta hai
har chiz ka malja hai har chiz ka mawa hai
hai kaun si shai aisi jis mein wo nahin maKHfi
jo kuchh ki nazar mein hai us ka hi nazara hai
kuchh us ki haqiqat par bhi tune nazar Dali
bazi-gah-e-duniya mein kyun mahw-e-tamasha hai
duniya se na ma-fiha se hum ko gharaz zahid
mahfil hai ye rindon ki ya qulqul-e-mina hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XII (Pg. 303)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.