hai ishq ki nazron mein be-shak wahi farzana
hai ishq kī nazroñ meñ be-shak vahī farzāna
duniyā-e-mohabbat meñ kahlā.e jo dīvāna
huuñ rind-e-ḳharābātī mashrab mirā rindāna
but-ḳhāna ho yā ka.aba har ik mirā mai-ḳhāna
vo ek hī mālik hai in donoñ makānoñ kā
ka.aba bhī usī kā hai jis kā hai sanam-ḳhāna
kuchh lutf uThā zāhid rindī kā mazā bhī chakh
ik haath meñ sahbā ho ik haath meñ paimāna
donoñ kī kashish se maiñ sākit huuñ jahāñ par huuñ
ruḳh hai taraf-e-ka.aba dil jānib-e-mai-ḳhāna
ushshāq munāsib hai lo chal ke sabaq us se
tum se kahīñ behtar hai dil soḳhta parvāna
paayā hai laqab achchhā vallāh mubārak ho
kahte haiñ 'nadīm' ab to sab aap ko dīvāna
hai ishq ki nazron mein be-shak wahi farzana
duniya-e-mohabbat mein kahlae jo diwana
hun rind-e-KHarabaati mashrab mera rindana
but-KHana ho ya kaba har ek mera mai-KHana
wo ek hi malik hai in donon makanon ka
kaba bhi usi ka hai jis ka hai sanam-KHana
kuchh lutf uTha zahid rindi ka maza bhi chakh
ek hath mein sahba ho ek hath mein paimana
donon ki kashish se main sakit hun jahan par hun
ruKH hai taraf-e-kaba dil jaanib-e-mai-KHana
ushshaq munasib hai lo chal ke sabaq us se
tum se kahin behtar hai dil soKHta parwana
paya hai laqab achchha wallah mubarak ho
kahte hain 'nadim' ab to sab aap ko diwana
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XII (Pg. 304)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.