kahan andaz apne nala ka bulbul ke shewan mein
kahāñ andāz apne naala kā bulbul ke shevan meñ
isī kī muddatoñ bahseñ rahī haiñ sehn-e-gulshan meñ
butoñ ko jāntā huuñ aur vāqif huuñ bahut un se
diyā hai naqd-e-jāñ kuchh to samajh kar dast-e-rahzan meñ
kabhī thā ḳhāna-ka.aba meñ jo kuchh aur ab bhī hai
vahī thā aur hai is vaqt bhī dair-e-barahman meñ
na chhoḌeñge kabhī maftūñ tujhe tark-e-kamāñ abrū
ye rahzan naqd-e-dil ko lūTte haiñ roz-e-raushan meñ
kahan andaz apne nala ka bulbul ke shewan mein
isi ki muddaton bahsen rahi hain sehn-e-gulshan mein
buton ko jaanta hun aur waqif hun bahut un se
diya hai naqd-e-jaan kuchh to samajh kar dast-e-rahzan mein
kabhi tha KHana-kaba mein jo kuchh aur ab bhi hai
wahi tha aur hai is waqt bhi dair-e-barahman mein
na chhoDenge kabhi maftun tujhe tark-e-kaman abru
ye rahzan naqd-e-dil ko luTte hain roz-e-raushan mein
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XII (Pg. 304)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.