Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mahfil ishq meñ jo yar uThe aur baiThe

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

mahfil ishq meñ jo yar uThe aur baiThe

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

mahfil ishq meñ jo yaar uThe aur baiThe

hai vo malka ki subuk-bār uThe aur baiThe

raqs meñ jab ki vo tarrār uThe aur baiThe

be-qarārī se ye bīmār uThe aur baiThe

kasrat-e-ḳhalq vo mahfil meñ hai terī ik shaḳhs

nahīñ mumkin hai ki yakbār uThe aur baiThe

sar uThāne bhī fursat nahīñ detā hai hameñ

chū habāb-e-sar-e-jū yaar uThe aur baiThe

ḳhauf-e-badnāmī se tujh paas na aa.e varna

ham ka.ī baar sun ai yaar uThe aur baiThe

dard kyuuñ baiThe biThā.e tire sar meñ uTThā

ki qalaq se tire sau baar uThe aur baiThe

terī dīvār to kyā gumbad-e-dvvār bhī yaar

chāhiye āh-e-sharar-bār uThe aur baiThe

aap majlis-e-ālī meñ alarraġhm raqīb

ba-ijāzat ye gunahgār uThe aur baiThe

aap se ab to is ahqar ko sarokār nahīñ

jis jagah chāhiye sarkār uThe aur baiThe

hazrat-e-dil sipar-e-dāġh-e-junūñ ko le kar

yuuñ bar-e-ishq jigar-ḳhvār uThe aur baiThe

chuuñ dilerāna koī muñh pe sipar ko le kar

sher-e-ḳhūñ-ḳhvār ko lalkār uThe aur baiThe

kafashdoz un ke jab apne barābar baiTheñ

aisī majlis meñ to paizār uThe aur baiThe

zāhid aayā to gavārā nahīñ rindoñ ham ko

apnī is bazm meñ makkār uThe aur baiThe

donoñ kānoñ ko pakaḌ kar yahī hai us sazā

kah do sau baar ye ayyār uThe aur baiThe

baiThte uThte isī tarah ke likh aur ġhazal

jis meñ 'ehsāñ' ho na paikār uThe aur baiThe

mahfil ishq meñ jo yar uThe aur baiThe

hai wo malka ki subuk-bār uThe aur baiThe

raqs meñ jab ki wo tarrār uThe aur baiThe

be-qarārī se ye bīmār uThe aur baiThe

kasrat-e-ḳhalq wo mahfil meñ hai terī ek shaḳhs

nahīñ mumkin hai ki yakbār uThe aur baiThe

sar uThāne bhī fursat nahīñ detā hai hameñ

chū habāb-e-sar-e-jū yar uThe aur baiThe

ḳhauf-e-badnāmī se tujh pas na aae warna

hum kaī bar sun ai yar uThe aur baiThe

dard kyuñ baiThe biThāe tere sar meñ uTThā

ki qalaq se tere sau bar uThe aur baiThe

terī dīwār to kyā gumbad-e-dwwār bhī yar

chāhiye āh-e-sharar-bār uThe aur baiThe

aap majlis-e-ālī meñ alarraġhm raqīb

ba-ijāzat ye gunahgār uThe aur baiThe

aap se ab to is ahqar ko sarokār nahīñ

jis jagah chāhiye sarkār uThe aur baiThe

hazrat-e-dil sipar-e-dāġh-e-junūñ ko le kar

yuñ bar-e-ishq jigar-ḳhwār uThe aur baiThe

chuñ dilerāna koī muñh pe sipar ko le kar

sher-e-ḳhūñ-ḳhwār ko lalkār uThe aur baiThe

kafashdoz un ke jab apne barābar baiTheñ

aisī majlis meñ to paizār uThe aur baiThe

zāhid aayā to gawārā nahīñ rindoñ hum ko

apnī is bazm meñ makkār uThe aur baiThe

donoñ kānoñ ko pakaḌ kar yahī hai us sazā

kah do sau bar ye ayyār uThe aur baiThe

baiThte uThte isī tarah ke likh aur ġhazal

jis meñ 'ehsāñ' ho na paikār uThe aur baiThe

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Ehsan
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now