kahan tak Thokaren khaya karegi iltija meri
kahāñ tak Thokareñ khāyā karegī iltijā merī
vo but suntā nahīñ hai tuuhī sun le ai ḳhudā merī
fuġhāñ be-fā.ida be-sūd naale be-asar aaheñ
mirā muñh dekhtī hai be-kasī meñ iltijā merī
kuchh aisā lutf-e-nākāmī ne mustaġhnā banāyā hai
asar ko dekh kar muñh pher latī hai duā merī
kahīñ husn-o-mohabbat kī fasāne miTne vaale haiñ
rahegī yaad duniyā ko jafā terī vafā merī
rah-e-ulfat meñ miT-miT kar ġham-e-furqat meñ mar-mar kar
kisī din hohī jā.egī fanā merī baqā merī
nadāmat se meñ jab gardan jhukā lūñgā sar-e-mahshar
yaqīñ hai baḳhsh degā baḳhshne vaalā ḳhatā merī
guzartī hai jo ai 'mahfūz' mujh par maiñ hī vāqif huuñ
kisī ko kyā ḳhabar hai āj-kal hālat hai kyā merī
kahan tak Thokaren khaya karegi iltija meri
wo but sunta nahin hai tuhi sun le ai KHuda meri
fughan be-faida be-sud nale be-asar aahen
mera munh dekhti hai be-kasi mein iltija meri
kuchh aisa lutf-e-nakaami ne mustaghna banaya hai
asar ko dekh kar munh pher lati hai dua meri
kahin husn-o-mohabbat ki fasane miTne wale hain
rahegi yaad duniya ko jafa teri wafa meri
rah-e-ulfat mein miT-miT kar gham-e-furqat mein mar-mar kar
kisi din hohi jaegi fana meri baqa meri
nadamat se mein jab gardan jhuka lunga sar-e-mahshar
yaqin hai baKHsh dega baKHshne wala KHata meri
guzarti hai jo ai 'mahfuz' mujh par main hi waqif hun
kisi ko kya KHabar hai aaj-kal haalat hai kya meri
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 259)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.