koi surat mein ho main ta hadd-e-imkan dekh leta hun
koi surat mein ho main ta hadd-e-imkan dekh leta hun
Mahfooz Sambhali
MORE BYMahfooz Sambhali
koī sūrat meñ ho maiñ tā hadd-e-imkāñ dekh letā huuñ
ayaañ to phir ayaañ hai husn-e-pinhāñ dekh letā huuñ
na jaane kyuuñ khaTak jaatā hai ḳhār-e-ġham mire dil meñ
adū ko jab chaman meñ gul-badāmāñ dekh letā huuñ
jhalak merī gunahgārī meñ bhī hai pārsā.ī kī
maiñ rahmat kī taraf ai zauq isyāñ dekh letā huuñ
merī āshufta haalī ko nahīñ kuchh nahīñ niiñd kī hājat
maiñ bedārī meñ bhī ḳhvāb-e-pareshāñ dekh letā huuñ
ḳhudā rakhe salāmat jazba-e-shauq-e-junūñ tujh ko
ki tere faiz se koh-o-bayābāñ dekh letā huuñ
nazar haT kar zamāne se karam par tere jaatī hai
agar ḳhālī kabhī maiñ apnā dāmāñ dekh letā huuñ
baḌhātā huuñ usī se rāh-e-rasm-o-āshnā.ī bhī
maiñ ai 'mahfūz' jis insāñ ko insāñ dekh letā huuñ
koi surat mein ho main ta hadd-e-imkan dekh leta hun
ayan to phir ayan hai husn-e-pinhan dekh leta hun
na jaane kyun khaTak jata hai KHar-e-gham mere dil mein
adu ko jab chaman mein gul-badaman dekh leta hun
jhalak meri gunahgari mein bhi hai parsai ki
main rahmat ki taraf ai zauq isyan dekh leta hun
meri aashufta haali ko nahin kuchh nahin nind ki hajat
main bedari mein bhi KHwab-e-pareshan dekh leta hun
KHuda rakhe salamat jazba-e-shauq-e-junun tujh ko
ki tere faiz se koh-o-bayaban dekh leta hun
nazar haT kar zamane se karam par tere jati hai
agar KHali kabhi main apna daman dekh leta hun
baDhata hun usi se rah-e-rasm-o-ashnai bhi
main ai 'mahfuz' jis insan ko insan dekh leta hun
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 259)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.