bad-gumani asar-andaz jahan hoti hai
bad-gumānī asar-andāz jahāñ hotī hai
baat halkī bhī tabī.at pe garāñ hotī hai
rañj daurāñ se farsūda ho tabī.at jis kī
har bahār us kī nigāhoñ meñ ḳhizāñ hotī hai
vo tamannā nahīñ hotī hai rahīn-e-pīrī
jo āġhosh-e-mohabbat meñ javāñ hotī hai
zauq-e-sajda koī ḳhāsān-e-ḳhudā se pūchhe
dil taḌap uThtā hai jis vaqt azaañ hotī hai
aish yā rañj kī manzil ho ye ruktī nahīñ
aisī raftār se kuchh umr-e-ravāñ hotī hai
kuchh nahīñ roz-e-qiyāmat se shab-e-ġham 'mahfūz'
hashr hotā hai ye mehmān jahāñ hotā hai
bad-gumani asar-andaz jahan hoti hai
baat halki bhi tabiat pe garan hoti hai
ranj dauran se farsuda ho tabiat jis ki
har bahaar us ki nigahon mein KHizan hoti hai
wo tamanna nahin hoti hai rahin-e-piri
jo aaghosh-e-mohabbat mein jawan hoti hai
zauq-e-sajda koi KHasan-e-KHuda se puchhe
dil taDap uThta hai jis waqt azan hoti hai
aish ya ranj ki manzil ho ye rukti nahin
aisi raftar se kuchh umr-e-rawan hoti hai
kuchh nahin roz-e-qiyamat se shab-e-gham 'mahfuz'
hashr hota hai ye mehman jahan hota hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 260)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.