Sufinama

main hi madhosh tahayyur hun mujhe hosh nahin

Mahfooz Sambhali

main hi madhosh tahayyur hun mujhe hosh nahin

Mahfooz Sambhali

MORE BYMahfooz Sambhali

    maiñ mad.hosh tahayyur huuñ mujhe hosh nahīñ

    kaun kahtā hai vo rū-posh hai rū-posh nahīñ

    qissa-e-roz-e-azal yaad hai ab tak mujh ko

    ḳhud-farāmosh to huuñ ahd-e-farāmosh nahīñ

    va.ada-e-vasl ne Dhāyā hai nayā aur sitam

    aaj dard ġham-e-furqat bhī ham-āġhosh nahīñ

    ham bhī to dekhne vaale haiñ nigāheñ terī

    sāqī-e-mast nazar ḳhud bhī tujhe hosh nahīñ

    shauq-e-dīdār hai kyā naam usī muusā

    jab tamannā huī puurī to tumheñ hosh nahīñ

    va.ada-e-vasl rahā hashr pe un mauqūf

    bār-e-furqat se maiñ mar kar bhī sabk-dos nahīñ

    vo nahīñ haiñ to tasavvur to hai un 'mahfūz'

    shab-e-furqat meñ bhī ḳhālī mirā āġhosh nahīñ

    main hi madhosh tahayyur hun mujhe hosh nahin

    kaun kahta hai wo ru-posh hai ru-posh nahin

    qissa-e-roz-e-azal yaad hai ab tak mujh ko

    KHud-faramosh to hun ahd-e-faramosh nahin

    wada-e-wasl ne Dhaya hai naya aur sitam

    aaj dard gham-e-furqat bhi ham-aghosh nahin

    hum bhi to dekhne wale hain nigahen teri

    saqi-e-mast nazar KHud bhi tujhe hosh nahin

    shauq-e-didar hai kya nam usi ka musa

    jab tamanna hui puri to tumhein hosh nahin

    wada-e-wasl raha hashr pe un ka mauquf

    bar-e-furqat se main mar kar bhi sabk-dos nahin

    wo nahin hain to tasawwur to hai un ka 'mahfuz'

    shab-e-furqat mein bhi KHali mera aaghosh nahin

    Source :
    • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 260)
    • Author : Irfan Abbasi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now