nigah-e-roz-e-awwal dil-nashin hai chashm-e-jaanan ki
nigah-e-roz-e-awwal dil-nashin hai chashm-e-jaanan ki
Mahfooz Sambhali
MORE BYMahfooz Sambhali
nigāh-e-roz-e-avval dil-nashīñ hai chashm-e-jānāñ kī
usī buniyād par ta.amīr hai aivān-e-armāñ kī
jahān-e-ishq meñ sub.h-e-qayāmat kā namūna hai
haqīqat ġhair ko ma.alūm kyā hai shām-e-hijrāñ kī
jhukī us vaqt but-ḳhāna ḳhāna ka.aba kar liyā jis dam
jabīn-e-ijz kā ye hausla dekho musalmāñ kī
jahāñ mujh se liyā thā dil mirā us chashm-e-pur-fan ne
vahāñ se ibtidā hai inqalāb-e-charḳh-gardāñ kī
ġhubār-e-rañj dushman tak nahīñ 'mahfūz' ke dil par
safā.ī dekhiye ā.īna-e-jazbāt īmāñ kī
nigah-e-roz-e-awwal dil-nashin hai chashm-e-jaanan ki
usi buniyaad par tamir hai aiwan-e-arman ki
jahan-e-ishq mein subh-e-qayamat ka namuna hai
haqiqat ghair ko malum kya hai sham-e-hijran ki
jhuki us waqt but-KHana KHana kaba kar liya jis dam
jabin-e-ijz ka ye hausla dekho musalman ki
jahan mujh se liya tha dil mera us chashm-e-pur-fan ne
wahan se ibtida hai inqalab-e-charKH-gardan ki
ghubar-e-ranj dushman tak nahin 'mahfuz' ke dil par
safai dekhiye aaina-e-jazbaat iman ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.