jamal-e-nur-e-rahman par ghazal kahna ibaadat hai
jamal-e-nur-e-rahman par ghazal kahna ibaadat hai
Mahmood Ahmad Rabbani
MORE BYMahmood Ahmad Rabbani
jamāl-e-nūr-e-rahmāñ par ġhazal kahnā 'ibādat hai
vo ḳhilqat ke nigahbāñ par ġhazal kahnā 'ibādat hai
rasūl-e-pāk jin kī mezbānī ḳhud ḳhudā ne kī
ḳhudā ke pyāre mehmāñ par ġhazal kahnā 'ibādat hai
jise qur.ān meñ allāh ḳhud mahbūb kahtā hai
usī yāsīn-e-sub.hāñ par ġhazal kahnā 'ibādat hai
karam se jin ke duniyā ke har ik dukh-dard miTte haiñ
masīhā-e-ġharībāñ par ġhazal kahnā 'ibādat hai
muqābil jin ke zālim aur jābir Tik nahīñ paa.e
'arab ke shāh-e-mardāñ par ġhazal kahnā 'ibādat hai
vo husn-e-mustafā ahmad ḳhudā ko sab se pyārā hai
jamāl-e-rū-e-jānāñ par ġhazal kahnā 'ibādat hai
jamal-e-nur-e-rahman par ghazal kahna 'ibaadat hai
wo KHilqat ke nigahban par ghazal kahna 'ibaadat hai
rasul-e-pak jin ki mezbani KHud KHuda ne ki
KHuda ke pyare mehman par ghazal kahna 'ibaadat hai
jise quran mein allah KHud mahbub kahta hai
usi yasin-e-subhan par ghazal kahna 'ibaadat hai
karam se jin ke duniya ke har ek dukh-dard miTte hain
masiha-e-ghariban par ghazal kahna 'ibaadat hai
muqabil jin ke zalim aur jabir Tik nahin pae
'arab ke shah-e-mardan par ghazal kahna 'ibaadat hai
wo husn-e-mustafa ahmad KHuda ko sab se pyara hai
jamal-e-ru-e-jaanan par ghazal kahna 'ibaadat hai
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 325)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.