main sada se aashiq-e-zar tha kabhi nur ka kabhi nar ka
maiñ sadā se 'āshiq-e-zār thā kabhī nuur kā kabhī naar kā
vahī silsila hai abhī talak vahī aas bos-o-kanār kā
maiñ ḳhizāñ-zada to azal se huuñ mire bāl-o-par bhī jhulas ga.e
na to jism-o-jāñ meñ sakat rahī na to valvala hai bahār kā
kabhī niiñd khultī hai raat meñ kabhī bhor meñ ye sadā milī
uTho jaao jānib-e-lāla ruḳh vo abhī bhī pyāsā hai pyaar kā
kabhī vajd meñ jo maiñ aa gayā sar-e-bazm saaqī ne ye kahā
raho had meñ tum raho bā-adab ye asar hai tum meñ ḳhumār kā
ye dhuāñ-dhuāñ hai jo chār-sū zarā ġhaur se ise dekh tū
ye bhī 'aks āh-o-bukā kā hai ye asar hai dil ke ġhubār kā
mirī zindagī bhī basar huī usī gulistāñ ke hisār meñ
mirā rishta is se qarīb hai vahī rishta hai gul-o-ḳhār kā
na sitam karo na sahn karo usī tarh mashq-e-suḳhan karo
kaho saare apne harīfoñ se nahīñ Dar hai qaid-o-hisār kā
ye nizām-o-shams-o-qamar hai kyā mire rab kī saarī karāmateñ
pas-e-parda rabb-e-jalīl hai vahī rab hai lail-o-nahār kā
kabhī sāz-e-dil ko to chheḌiye kabhī naġhmagī ko suneñ zarā
to suneñge naġhma-e-jāñ-ba-lab ba-lab dil shikasta sitār kā
ye maqām hai vo maqām-e-shab sabhī mast pī kar mai-e-alast
na ḳhabar hai gird-o-navāh kī nahīñ hosh dil kī pukār kā
mirī zindagī meñ thī sādgī koī sho.aba koī paḌāv ho
haañ abhī hai vahī valvala vahī jazba ab bhī nisār kā
maiñ palā jahāñ maiñ baḌhā jahāñ jahāñ merī nashv-o-numā huī
sabhī yaad aate haiñ barmalā hai qarz qurb-o-javār kā
maiñ yahāñ rahūñ yā vahāñ rahūñ mirī soch ab bhī vahīñ kī hai
maiñ karūñ bhī kyā ki utaar duuñ hai ye bojh sar pe udhār kā
kabhī ġham meñ ġham ke asar meñ bhī kabhī yaad apnoñ kī aa ga.ī
kabhī chilchilātī sī dhuup meñ jaise ek jhoñkā phuvār kā
main sada se 'ashiq-e-zar tha kabhi nur ka kabhi nar ka
wahi silsila hai abhi talak wahi aas bos-o-kanar ka
main KHizan-zada to azal se hun mere baal-o-par bhi jhulas gae
na to jism-o-jaan mein sakat rahi na to walwala hai bahaar ka
kabhi nind khulti hai raat mein kabhi bhor mein ye sada mili
uTho jao jaanib-e-lala ruKH wo abhi bhi pyasa hai pyar ka
kabhi wajd mein jo main aa gaya sar-e-bazm saqi ne ye kaha
raho had mein tum raho ba-adab ye asar hai tum mein KHumar ka
ye dhuan-dhuan hai jo chaar-su zara ghaur se ise dekh tu
ye bhi 'aks aah-o-buka ka hai ye asar hai dil ke ghubar ka
meri zindagi bhi basar hui usi gulistan ke hisar mein
mera rishta is se qarib hai wahi rishta hai gul-o-KHar ka
na sitam karo na sahn karo usi tarh mashq-e-suKHan karo
kaho sare apne harifon se nahin Dar hai qaid-o-hisar ka
ye nizam-o-shams-o-qamar hai kya mere rab ki sari karamaten
pas-e-parda rabb-e-jalil hai wahi rab hai lail-o-nahaar ka
kabhi saz-e-dil ko to chheDiye kabhi naghmagi ko sunen zara
to sunenge naghma-e-jaan-ba-lab ba-lab dil shikasta sitar ka
ye maqam hai wo maqam-e-shab sabhi mast pi kar mai-e-alast
na KHabar hai gird-o-nawah ki nahin hosh dil ki pukar ka
meri zindagi mein thi sadgi koi shoaba koi paDaw ho
han abhi hai wahi walwala wahi jazba ab bhi nisar ka
main pala jahan main baDha jahan jahan meri nashw-o-numa hui
sabhi yaad aate hain barmala hai qarz qurb-o-jawar ka
main yahan rahun ya wahan rahun meri soch ab bhi wahin ki hai
main karun bhi kya ki utar dun hai ye bojh sar pe udhaar ka
kabhi gham mein gham ke asar mein bhi kabhi yaad apnon ki aa gai
kabhi chilchilati si dhup mein jaise ek jhonka phuwar ka
- Book : Mata-e-Haque (Pg. 38)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.